Uttar pradesh me ek yojana ko shuru kia gaya hai jiska nam rakha gaya hai UP Jhatpat Bijli connection yojana . UP me dekha gaya hai ki garibi rekha se kam aane wale logo ke liye electricity connection apply kr pana bahut mushkil tha kyoki wo connection ki fee payment nahi kr paate the aur wo sabhi formalities puri krne ke liye itne literate bhi nahi the. Scheme ka main udeshya hai dusre rajya ki sarkaro ki tarah die jane wale electricity connection benefits UP me bhi diye jaaye .
Is scheme me sabhi BPL Ration card holders aur listed candidates jo ki garibi rekha se niche aate hai jo APL ki shreni me aate hai unko ek discount rate par Jhatpat Bijli connection dena . Is scheme ko introduce kia gaya hai Power Coporation Vibhag se aur is scheme me sabhi APL aur BPL Ration card or notified applicants ko electicity connection plus meter ka benefit diya jaega .
Agar ap Uttar Pradesh ke rehne wale hai aur janna chahte hai ki kaise ap Jhatpat Electricity connection scheme me apply kr skte hai to is article me apko is scheme ki puri eligibility , documents aur application process acche se samjahaya gaya hai .
Jhatpat Yojana kya hai ?
Abhi tak UP me har village or district me electricity connection ko thik se implement nahi kia gaya tha . Government ki electrification policies ko lekar sabhi villages aur districts me electrification ka kam kia gaya jisme government ne applicants ko invite kia ki wo alag alag Yojana me electricity connection ke liye apply kare .
UP me garib parivaro aur majdoor varg ki sankhya ko dekhte hue , Sarkar ne Jhatpat connection yojana ko implement kia . Is scheme se avedan krke me sabhi applicants asani se electricity department se connection ke liye apply kr skte hai .
Jhatpat Connection Yojana me BPL applicants ko 1 se 25 kilowatt electricity connection ke liye apni application ke sath sirf Rs 10 ki fees bharni hogi aur jo bhi parivar APL parivaro ki list me aega unko 1 se 25 kilowatt electricity connection ke liye 100 rupaye ki fees bharni hogi . Is scheme me connection apply krne ke bad 10 din ke ander bijli ka connection laga diya jaega .
Jhatpat Yojana me kya kya benefits milte hai ?
Jhatpat Yojana ka labh sirf UP residents ko milega , jiske liye unko kuch documents aur apna application form submit krna hoga . Ye scheme specially poor section of the society ke liye bnayi gayi hai aur isme na ke brabar paise dekar connection liya ja skta hai . Is scheme benefits kuch is tarike se diye jaenge :
- BPL Applicants ko as low as Rs 10 me electricity connection diye jaenge .
- APL Appplicants ko kewal Rs 100 ke shulk me 1 se 50 kilowatt ka connection de diya jaega .
- Is scheme ko direct Uttar Pradesh Power Corporate dwara handle kiya ja raha hai jisme aage samay me connection par alag alag subsidy bhi di jaegi .
- Is scheme ke ander guaranteed electricity connection 10 din ke ander de diya jaega .
- Is scheme me applicants ko Income source ya application reason ko lekar koi sawal nahi puche jaenge jis se applicants asani se apply kr ske.
UPPCL Jhatpat Bijli Scheme ke liye documents kya kya chahiye ?
UP ke kai rajyo me garibi rekha se niche log rehte hai aur unko electricity connection ke liye baar baar chakkar katne pdte the . Is scheme me main motive yahi rakha gaya hai ki kam se kam documentation me sabhi applicants ko electricity connection de diya jae.
Jhatpat Yojana me APL aur BPL holders ko connection apply krne ke liye in documents ki jarurat padegi :
- Domicile certificate
- APL or BPL Card
- Aadhaar Card
- Address Proof
- PAN Card
- Mobile Number
- Email Id
- Passport size photo
- Identity Proof
In documents ke alawa , applicant ko application form UPPCL corporation se form lekar us me acche se details fill krke , use online ya offline scheme me connection ke liye apply krna hoga.
Jhatpat Yojana me Electricity Connection ke liye kaise apply kare ?
Jhatpat Yojana me electricity connection apply krne ke liye ya phir apne existing (phle se liye hue connection ) ka load badhane ke liye apply krne ke tarike alag alag hai . Agar ap Jhatpat Yojana new electricity connection apply krna chahte hai to ap is process ko follow kr skte hai :
- Go to official Jhatpat Yojana Website UPPCL Application .
- Go to Consumer Corner > Apply for New Electricity Connection .
- Click on New Registration
- Enter all details in the form .
- Click on Register.
- If asked , make payment of Fee.
Submit hone ke bad apko Jhatpat Yojana connection apply ke liye SMS alert ajaega aur apki application approve hone se 10 din me apka connection lg jaega .
Agar ap isi tarike se apply krke apne existing connection load badwana chahte hai to ap is link se same process follow kr skte hai : Jhatpat Yojana Apply for New Electricity Connection & Load Enhancement . Connection ka status track krne ke liye ap is link par apna application id dal kar check kr skte hai ki apke connection ko approval mila ya nahi aur apko aur kya documents dalne hai .
Is scheme me apko apne agriculture land ke liye bhi low cost par connection offer kia gaya hai jise apply krne ke liye apko same process follow krna hai .
Must Read : Imagesbazaar Online Indian Image Sharing Website par Online Paise Kaise Kamaye
Jhatpat Yojana ko kon apply kr skta hai ?
UP me Jhatpat Connection ko apply krne ke liye sirf APL or BPL Card holders hi apply kr skte hai . Agar ap scheme me apni eligibility check krna chahte hai to ap apne near by UPPCL department me jakar offline apply kr skte hai .
Agar ap online UPPCL ke kisi adhikaari se avedan ka pura tarika janna chahte hai ya kuch puchna chahte hai to ap online is link se UPPCL Jhatpat Yojana ke baare me aur bhi jankari le skte hai .
Agar apko is scheme se judi ya kisi aur scheme se judi koi aur jankari chahiye to ap hame niche comment section me comment krke bhi bta skte hai .