India me Corona hone ke bad Health aur beauty ko lekar aur bhi awareness badhi ha . Isko as a opportunity dekhte hue ye bhi observe kya ja skta hai ki health aur wellness se related products or business ideas me bhi increment hua hai . Business hi nahi health services , equipment’s or medicine industry ki bhi demand dugni hogai hai . Kyoki India me wellness ko lekar log jyada serious hai or ek study me dekha gaya hai ki apni wellness aur body posture or figure ko lekar bhi India me sbse jyada products ko kharida or becha jata hai .Isi industry or demand ko target krte hue India me sbse old or trusted company VLCC apne cosmetics or beauty products ke liye mashur hai .
[lwptoc]
Compared to demand of health products , India me itne startups ya itni technology options nahi hai jis se new built startups hi tech technology ko use kare or beauty products ko develop kare . Iske liye entrepreneurs ko ek opportunity dene ke liye or VLCC Brand ki expansion ke liye India me VLCC Franchise Business ko jyada se jyada promote kr rhi hai .
Agar ap janna chahte hai ki kaise ap apne area me kam investment me VLCC Franchise business or VLCC product ke distributor ap kaise ban skte hai , apko VLCC Franchise lene ke liye kitna investment chahiye aur ap is business ko kaise scale kr skte hai sab apko is article me btaya gaya hai .
VLCC Franchise Business kya hai ?
VLCC India ki beaty industry me sbse purana nam hai jisme apko bahut tarah ke wellness aur beauty product range mil jati hai. VLCC Company India me 1986 me shuru hui thi jisme is company ne kafi bade brands acquire kiye aur iske India me abhi 72000 se jyada outlets hai . VLCC ka main business hai beauty products ka jisme apko hair care , skin care , eye care , special beauty products , shaving products , beauty equipments or tools milte hai . VLCC ek wholesale chain se jyada ek retail chain hai jisme ye outlets ke through apne customers ko attend krte hai .
VLCC me apko ek fitness center chain open krne ki oppurtunity bhi milti hai , jisme ap fitness, spa or beauty centers khol kr bhi paise kama skte hai . Overall dekha jaeye to VLCC ek complete beauty service chain hai jo wo sabhi services offer krti hai jisme spa , health , fitness , physique me equipments se lekar internal or external consumable or usable products hote hai .
VLCC me kya product range sale ki jaati hai ?
VLCC ki product range ki baat karen to ye brand kuch specific categories me kam krta hai jiske liye ye separate franchises bhi offer krte hai . VLCC ki product range me major categories hai face beauty products , body massage or body care products , personal care , hair care products , specific pigments , oils and beauty problems related products and specific service offers like massage , spa or beauty treatment packages .
Agar ap VLCC ki franchise lete hai to ap do tarike se kam skte hai jaise agar ap VLCC ki product range lete hai aur uski distributorship krte hai to ap sirf products lekar bahi kam shuru kr skte hai aur agar ap VLCC Outlet open krte hai to ap VLCC Center open krke Spa , beauty treatments or services de skte hai . VLCC complete product range check krne ke liye ap VLCC official website par check kr skte hai .
VLCC Franchise Outlet kholne ke loye kitni investment chahiye ?
VLCC ek distributor banane ke liye minimum Rs 10 lakh ki demand krte hai jisme applicant ko koi bhi specific branding krne ki jrurat nahi hai. Wahi par agar ap VLCC spa or fitness center open krte hai to uske liye apko kuch specific franchise options lene hote hai . VLCC Franchise me apko 3 options milte hai :
- VLCC Salon
- VLCC Slimming Center
- VLCC Slimming beauty and fitness center .
Agar ap inme se koi bhi franchise ke liye apply krna chahte hai to uske liye apko in basic amenities me invest krna hoga :
- Approx 800 se 1000 sq ft jagah .
- Franchise Fees
- Equipment Charges
- Interiors
- Furniture and Fixtures
- Training Cost
- Royalty Fee every year.
Aise apko kam se kam Rs 26 lakh se Rs 32 lakhs is business me invest krne hote hai aur apko isme clientele ke according acchi income ho jati hai. Ap ise ek prime location me open kr skte hai jisme ap VLCC ki services provide krke per treatment ka Rs 3000 se Rs 15000 tak bhi charge kr skte hai .
VLCC Business ki distributorship le ya Franchise Business kare ?
VLCC Distributor business me jruri hai ki apke pas FMCG or personal care products ko lekar ek acchi or built supply chain honi chahiye kyoki agar ap Chain nahi built kar paate to apko is business ko krne me problem ho skti hai . India me VLCC products since 2005 bahut hi acche maane jate hai aur unki high demand hai . Distributor banne ke liye apko acchi khasi investment is business me laani hoti hai kyoki is business me ek normal cream ka price bhi dekhe to minimum Rs 300 ya uss se jyada hota hai to agar ap VLCC me alag alg product ki distributorship lena chahte hai to apko kam se kam Rs 40 – Rs 50 lakhs ki investment ki jarurat padegi .
VLCC Franchise me apko kam se kam investment Rs 26 lakh tak krni hogi lekin Franchise lene ke bad brand apse legally royalty charge kr skta hai jisme agar apki Income hoti hai to uska kuch proportion apko Company ko dena hota hai as Royalty . Toh dekha jaye to apko VLCC franchise me ap controlled hote hai aur apko services dete hue bhi code of conduct ko follow kare . To all in all , apko Distributor business me jyada freedom milti hai as compared to Franchise .
VLCC Distributor business me apko kuch specific sales targets bhi meet krne hote hai jo apko annual or monthly target ke according mil jate hai .
VLCC Business me ap kitni income kr skte hai ?
VLCC me agar product or service margin ki baat kare to apko kam se kam 30 Percent se lekar 50percent tak ka profit VLCC products me mil jata hai . Kyoki VLCC me apko high demand milti hai due to good quality products or agar kisi bhi product ki pricing dekhe to apko kam se kam Rs 300 ke product se lekar Rs 3000 ya us se jyada ke product or service packages sell krne hote hai .
Service packages me apko one time equipment investment ke bad ap accha profit kr skte hai jiska apko kuch portion as a Royalty company ko pay krna hoga . Agar annual turnover or income ki baat kare to monthly sales ke according ap is business me ek prime location me Rs 2 se 5 lakh monthly income kr skte hai aur ek average location par Rs 1 se 2 lakh profit per month .
Must Read : WordPress Website Manage krne ke liye Mandatory WordPress Plugins
VLCC Franchise Business me kya registration chahiye ?
VLCC Franchise ka basis rakha gaya hai ki ap kitni investment krte hai aur apki setup location kya hogi . Isme dekha jaaye to ap agar is business ko as a franchise adopt krte hai to apko apne business ko register krna jruri hai aur wahi agar ap distributor business krte hai to ap Sole proprietorship business se bhi ise shuru kr skte hai . Lekin company se invoicing or purchase ke liye apko :
- Business Registration
- GST Registration
- Business Bank Account
Ye 3 registration krna jruri hai . Agar ap VLCC Distributor Business or VLCC Franchise business krna chahte hai aur janna chahte hai ki apko is business me kitna investment krna hoga to ap hamse niche comment section me comment krke bta skte hai .