USA me Job Search Kaise Kare India se Online USA Jobs Dekhe

America ko World me sbse developed nation kaha jata hai aur USA jane ke liye log India me IELTS se lekar VISA aur bhi kai tarike ke exam dete hai aur course krte hai taki wo USA me jakar settle ho sake . Kai log yahi sapna banate hai ki wo USA me ek successful career banaye jis se wo apni family ko financially support kar paye par unhe ye jankari nahi hoti ki USA me job kaise milti hai aur online USA me job kaise search ki jati hai . USA me job lene ke liye kuch special skills ki demand hoti hai jisme ap apne skills improve krte hai tabhi apko ek skilled profile ki job USA me milti hai .

America me job krne ke bad ap vahi par rented house ya apna khud ka house lekar permenant residence ya citizenship le skte hai . Iske working visa or contract par apko Green card lena hota hai jis se ap lifetime USA me job kar pate hai . Agar ap janna chahte hai ki USA me ap job kaise kr skte hai aur USA me online job search krne ka kya tarika hai sab apko is article me btaya gaya hai .

America me Job kaise search kare ?

America me Online job or partnership opportunities bahut mil jati hai lekin kisi bhi new aspirant ke liye ye problematic hai ek resume create krna aur companies ke contact points dhundna jis se ap company se job ke liye apply kar sake. Isme bhi ap 2 tarike se job search kar skte hai :

  1. Agar ap online company jobs ke liye search krte hai to ap USA Companies ki list classified websites ya Indeed jaise job portals par job dekh skte hai . Jaise hi apko apne according ek job mil jati hai to ap company ke contact points par resume or CV bhej skte hai . Jaise hi apko company se response milta hai to ap H-1 B work visa apply kr skte hai . Is Visa pe ap USA jakar job kr skte hai .
  2. Agar ap USA me job search krte hai aur online apply nahi kar parahe hai to ap offline O-1 Visa par USA ja skte hai jisme ap USA enter krne ke bad apne liye job search kr skte hai . Ap visit visa par bhi America ja skte hai jisme ap 2 se 3 months tak waha job search kr skte hai .

USA Company Jobs me selection process kaise hota hai ?

Agar ap ek US Recruiter se contact krte hai job krne ke liye to kisi bhi company me selection ke liye apko ek series of activities par interview clear krna hota hai . Jab apka interview clear ho jata hai tab apko company ki taraf se joining letter mil jata hai jis par apko sabhi terms and conditions or apka pay scale or responsibilities sab mention hoti hai . Agar ap USA Company jobs ke liye apply krna chahte hai to ap ko is selection process ko follow krna hoga :

  1. Online company selection ke bad jab apko Interview call ata hai to ap interview remote level par ya offline face to face bhi interview kr skte hai .
  2. Interview me apke 2 or 3 rounds hote hai jisme apko manager positions ke according alag alag person ko interview dena hota hai .
  3. Interview clear hone ke bad apko ek selection exam or kuch medical or intellectual test pass krne hote hai jo ki company ke policy ke according alg alg hote hai .
  4. Selection hone ke bad ap company se joining letter par company me join kr skte hai aur uske bad ap as a intern company me job krte hai .

USA me recruiters ki bahut value hoti hai kyoki agar ap USA me new hai aur ap ek new job join krte hai to apko apna background USA me develop krna hota hai . Apka background check krna aur apko as a guarantor help krte hai company me join hone me .

America me job kaise krte hai aur long term career kaise bana skte hai ?

America me job paane ke liye sbse jruri hota hai ki ap company ke job qualification or experience rules ke according hi kisi company me job apply kare . Agar ap company me as per qualification select hote hai to apko company me acchi salary milne ke chances bad jate hai .

America me kuch specific field hai jisme ap acchi income kr skte hai aur acchi salary par job kr skte hai . Online agar ap America Jobs ke liye apply krte hai to apko in positions par acchi salary mil jati hai :

  1. Advocate or Legal Jobs
  2. Medical Jobs
  3. Driver Jobs
  4. Hospital Jobs
  5. Hotel Jobs ‘
  6. Chef Jobs
  7. Truck Driver Jobs
  8. Maintenance Jobs
  9. Security Jobs
  10. Store Jobs

Agar ap in jobs ke liye apply krte hai to apko ye dhyaan rakhna hai ki ap jis bhi job ke liye apply kare apna CV uske according hi bnaye kyoki America me specialization lene par hi jobs asani se milti hai jaha par apko kisi field me apna specialization jrur dena hota hai .

America me Work Visa kaise le skte hai ?

India to America Visa apply karne ke liye har saal lakho log apply krte hai. Ek simplified way me dekha jaaye to students ya job seekers Visa agents ki help lekar Work Visa ya Student Visa ke liye apply kr skte hai . Agar Work visa me fees or investment ki baat kare to as a student or as an aspirant apke pas kam se kam Rs 20 lakh ki requirement hoti hai jisme apko Visa approval USA Indian Embassy se milta hai aur apko apke VISA ke documents apke address par bhej diye jate hai .

Agar ap US Work Visa apply krna chahte hai to alag alag job applications ke according or purpose ke liye USA India Visa kaise apply krte hai to ap is link se check Work Visa ke liye sabhi details check kr skte hai .

America me Job krne ki kitni Salary milti hai ?

America me jaise ap ek company profile job krte hai to apko starting salary kam se kam 500 USD se lekar 2000 to 5000 USD per month apko mil jata hai . Isme depend krta hai ki agar ap professional full time job ke liye USA company me apply krte hai to apko as per profession salary offer ki jati hai .

USA me job agar part time job ki baat kare to ap apne studies or other jobs ke liye bhi part time job kr skte hai jis se apki monthly income aur bhi jyada ho jati hai . Agar ap as a labor USA me job krna chahte hai to labor jobs me apko per hour basis par bhi income ho jati hai jisme ap minimum per hour basis par 5 to 7 USD le skte hai . Factory or Industrial Job me apko kam se kam 1 hr ke liye 15 to 25 USD per hour mil jata hai .

Also read : Online Dhan / Rice Business Kaise Kare or Kitna Income Hote Hai

America Remote jobs kya hai ?

America me job krne ke aur bhi kai tarike hote hai jisme apko physically present hone ki jrurat nahi hoti aur ap apne ghar se bhi remotely yani computer based jobs kr skte hai . Remote jobs ke liye ap online Indeed remote jobs or Remote.us jaisi websites par check kr skte hai .

Remote Jobs me income ki baat kare to isme apko project based kam milta hai aur ap apne Gigs create krke yani apni service ke orders or advertisment banakar bhi ap income kr skte hai . Remote Jobs me kai baar ap offline se jyada income kr skte hai kyoki isme apko per project basis or hourly basis bhi kam kr skte hai .

Agar ap USA Company jobs search kr rahe hai aur janna chahte hai ki kaise ap apni studies ke bad ya apna ek career build krne ke liye USA ja skte hai ye sab janne ke liye ap hame apne comments , niche comment krke bta skte hai .

Leave a Comment