India me nationalised services ko lekar kafi government organisations kam krti hai . In organisations me decide kiya jata hai ki statewise or district wise logo ke welfare ke liye kaisi policies built honi chahiye jaise education fair , education fund , cleanliness fund , women empowerment policies etc. Ye organisations based on their plans , government funding par alag alg services provide krte hai jis se human life aur asan ho sake.Lekin in organisations ke liye ek limitation hoti hai ground level par kam kr pana aur government funding proper na hone ke wajah se benefits equally de pana . In ke behalf par or society ke welfare ke liye kam krti hai NGOs (Non Government Organisations ) .
NGOS( Non Governmental Organisations ) ek society based organisations hoti hai jinhe not for profit organisations bhi kaha jata hai , ye organisations jaha government apni welfare services , financial aid or policies build nahi kr paati ye organisations public funding or government support par wo kam kr deti hai . In organisations me bahut si companies or private institutions bhi participate krte hai jo in organisations ko funding provide krte hai .
Agar ap janna chahte hai ki kaise ap apna NGO start kr skte hai , uske liye kya registration or regulations ko fulfil krna hota hai aur NGO start krne ke kya fayde hai sab apko is article me explain kiya gaya hai .
NGO me kya hota hai ?
NGO ko agar simple language me samjhe to ye social welfare or society welfare ke liye organisations banayi jati hai , jisme jo bhi fund or aid collect hoti hai wo social welfare par spend ki jati hai . NGO ke through orphan kids , homeless parents , kids , disadvantaged people , old people , mentally retarded people , society cleanliness or proper sanitation facilities or healthcare ko lekar bhi assistance di jati hai .
NGOs ke through sabhi societal problems ko identify kiya jata hai aur un par assistance provide ki jati hai chahe wo physical help ho, moral support ho , shelter support ya phir financial support ho . In organisations ke motive or objective ko dekhte hue government in par kuch restrictions bhi rakhti hai aur benefits bhi provide krti hai . In benefits ko lene ke liye NGO promoter ko ye organisations government records me register krwani pdti hai .
NGOs ke liye kuch khaas niyam aur kanun hote hai jiske under for register krke ek NGO operate kr skte hai .
India me NGO kaise shuru kr skte hai ?
India me law ke according different state ke different laws aur requirements hai jisme ek NGO establish krne ke liye un laws ko follow krna jruri hai . Sabhi rules or regulations ko dhyaan me rakhte hue ek NGO legally establish kiya ja skta hai jisme kuch members hote hai , unka NGO me kuch contribution hota hai , NGO me ek fund generate kiya jata hai , NGO ke income sources or NGO ke expenditure ko lekar policies banayi jati hai aur ultimate sab policies ready hone ke bad NGO registration krwayaa jata hai .
India me NGO start krne ke liye kuch specific legal laws ke ander register krna hota hai :
- Trust Act : Act ke according agar ap ek trust build krna chahte hai jo society ke social kamo ke liye ya organisations me ownership ke liye fund provide krte hai aur us se hone wali income ko social welfare me istamal krte hai to apko is act ke according registration krna hoga .
- Society Act : Is act ke according ap apne NGO ko ek society ke nam se register krwa skte hai jisme ap members ki sankhya ko badha ya ghata skte hai . Ek society establish krne ke liye apko kuch specific documents banane hote hai aur unhe registrar of state or registrar of district par deposit krna hota hai .
- Company Act : Company act ke according agar ap ek NGO establish krte hai aur uske parallel me ap koi business bhi krte hai to ap Company act me register hokar apne NGO ko profitable unit btakar bhi establish kr skte hai . Iske liye ap public or private company bhi shuru kr skte hai .
- Trademark Act : Trademark Act me agar ap apne NGO ke liye funding raise krna chahte hai ya ap koi big cause ke liye kam kr rahe hai to apko branding se apne NGO ko establish krna hai . Trademark se ap apna logo or mark register kar paenge .
- Member Registration : Agar ek private NGO banana chahte hai bina registration ke to ap NGO ko tabhi operate kr skte hai jab ap uske members ka registration krwale . Is me future me aane wali problems jaise NGO Partner finance or contribution or donations ko lekar problems ho jati hai .
NGO shuru krna ke liye kya kya documents banane hote hai ?
NGO shuru krna ke liye aur NGO ko kisi bhi law me register krne ke liye apko kuch mandatory registration krne hotehai . Apko in documents ki jrurat loan lene me , society me membership improve krne me , society rules or regulations banane me etc in sab me help ho jati hai .
NGO register krne ke liye ap in documents ko jrur banaye :
- Deed Document
- Trustees Certificate or Joining Letter
- Memorandum of Association (MOA)
- Rule Book or Rule Document
- Membership Stamps
In documents ko create krne ke bad ap legally apne NGO ko according ko government rules register kr skte hai . Ap documents prepare krne ke bad Society or NGO Registration ke liye kisi financial or legal consultant ki help bhi le skte hai .
NGO Shuru krna ke liye membership or positions kaise decide kare ?
Kisi bhi NGO ko chalane ke liye ek management team or professionals ko appoint krna jruri hai . Ap NGO ke selected members ko bhi kuch specific positions de skte hai jo NGO ke future ke bare me decide krte hai aur uski policies develop kare . Agar ap ek NGO shuru krte hai to ap in positions ke liye decide kr skte hai :
- President
- Vice President
- Secretary
- Deputy Secretary
- Treasurer
- Minister
- Members
Aise ap ek hierarchy decide kr skte hai ki NGO me apki management kaise kam kregi aur kon kya decision le skte hai . Is management me apko sbke powers unko batana jruri hai jis se bad me NGO ko lekar koi confusion na rahe .
Also read : Facebook Diem (Formerly Libra Coin ) Kya hai aur Ise Online Kaise Use Krna Hai
NGO Se Paise kaise kamate hai aur funding kaise istamal krte hai ?
NGO me funding or income ki bahut jrurat hoti hai kyoki kisi bhi NGO me agar ap social welfare kr rahe hai to us NGO ki promotion , societal expenses , maintenance expenses or other stationary expenses jaise kai saare expenses ko manage krna hota hai . Agar NGO ke income sources ki baat kare to ap in tariko se apne NGO ke liye funding le skte hai :
- Member contribution
- Monthly Member subscription
- Donations
- Charity
- Selling goods for charity purposes
- Public Deposits
- Crowdfunding
In tariko se ap apne NGO ke liye funding raise kr skte hai . Is se alag ap companies ko bhi funds ke liye approach kr skte hai jo apko ek accha contribution de dete hai . Agar ap apna NGO shuru krna chahte hai aur sabhi legal formalities ke baare me samajhna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .