Trading ek oppurtunity hai apke liye ghar baithe income krne ka jisme ap daily ek single trade krke acchi income kr skte hai . Agar ap beginner hai to apke liye bahut mushkil hota hai ki ap kam capital me hmesha apne liye profit generate kr sake aur as a beginner apko profitable hone ke liye share market me jyada se jyada capital hi use krna chahiye or slow moving investments ko choose krna chahiye .
Jaise hi ap share market me enter krte hai to apko dekhte hai index or stocks ki movement apke direction me hoti hai lekin jaise hi ap usme trade or invest krte hai to uski direction ek dum reverse ho jati hai . To is se bachne ke liye ap kya kr skte hai ? Trading Stop loss hi iska ek matra solution hai .
Agar trade apse reverse me chalti hai to apko ek particular stop loss par kam krna chahiye ,apko ye decide krna chahiye kisi bhi trade lene se phle ki ap us trade me kitna loss le skte hai . Share market me har bada investor ek trading stop loss ke sath kam krta hai aur wo apna loss minimise krna jante hai. Agar ap janna chahte hai ki Trading Stop loss kya hota hai aur share market me Stop loss lagakar ap kaise apne profit ko excess or loss ko kam kr skte hai to uske liye apko is article me Stop loss se related puri information de di gayi hai .
Trading setup me Stop Loss kya hota hai ?
Trading me bahut fluctuations ati hai , agar ek beginner investor ya trader ke view se dekhe to ap ke liye loss lena bahut mushkil hota hai aur ek baar trade me fas jane par ap ye decide kr paate ki apko trade me se nikal jana chahiye ya nahi .Agar Share market ki baat kare to ye apko kisi course me nahi pata chalega ki ap share market me tbhi profit bana skte hai jab ap apne losses plan kare aur market ke trend ko pakde , Jab tak ap apne loss ki tracking or Stop loss placing nahi krte tab tak ap trading me profits nahi kr paate .
Stop Loss ka simple meaning hota hai ek particular amount par kisi bhi trade me se exit kr jana . For instance , agar ap Bank Nifty Index options or futures me trade krte hai . Kyoki ye bahut volatile hote hai to ap agar beginner hai to minimum ap Rs 20 ka loss lete hai to ap kisi bhi trade me apni investment amount se less Rs 20 me apna Stop loss place kr skte hai . Jaise agar apne Bank Nifty Dec Option ko Rs 340 me liya hai to ap apna stop loss minimum Rs 20 ya Rs 30 yani 320 or Rs 310 par rakh skte hai jis se agar apko target na mile to ap maximum loss se exit ho jaye .
Trading Stop loss kitna hona chahiye ?
Share Market me apka stop loss kitna hoga ye depend krta hai ki ap kis security me trade kr rahe hai , kya time period par trade kr rahe hai aur kitna loss capacity ap bear kr skte hai . Iske sath sath investment ki volatility bhi dekhi jati hai . According to investment apke stop loss minimum itne hone chahiye :
- Bank Nifty Trading me minimum Rs 20 or Maximum Rs 60
- Nifty Trading me minimum Rs 20 and Maximum Rs 50
- Stocks me about 5 percent of the value of the stock (purchase price ).
- Stock Option about 2 to 5 percent of the Stock price (Depending on the lot size and price of stock . )
Aise ap apne liye ek basic stop loss lekar chal skte hai aur apne losses ko minimum kr skte hai .
Stop Loss Pro traders or Beginners dono ko hi benefit krta hai . Iska main kam hota hai ki apko help krna ye decide krne me ki ap maximum kisi bhi trade me kitna loss le skte hai aur apko next trade me help karwana ki ap next trade me kitna stop loss setup karenge . Stop Loss lagane se apko ye benefits hote hai :
- As a beginner ap apna Capital Loss krne se bach jaate hai aur trading sikhne ke bad ap apna capital recover kr paate hai .
- Apka loss fluctuations ki wajah se minimum hojata hai aur ap me ek profit making discipline ban jati hai .
- Apko kisi bhi stock me pata chal jata hai ki maximum ap kitna loss kr skte aur profit making ke liye new strategies bana skte hai .
- Ap Stop loss lagane se ek particular loss amount par automatic exit ho jate hai chahe ap market se alag koi bhi kam krte hai to .
Stop Loss management se ap sikh jaate hai ki apko kaha par entry krni hai aur kaha par exit , is se ap professional trader ki taraf ek kadam aur aage bad jate hai .
Option Trading me Stop Loss or Risk Reward kitna rakhna chahiye ?
Option trading share market me sbse jyada risky aur sbse jyada rewarding hoti hai , isme log ye sochte hai ki wo smoke stocks bech kar income kr skte hai ya phir wo long trading krke bhi Option se income generate kr skte hai . Lekin sbse jyada Stop loss hit or losses apko Option trading dekhne ko milta hai . Aisa isliye hota hai kyoki ek option trader ye dekhte hai unko fast volatility me maximum profits kaha ho skte hai aur wo share market me kam se kam time me income kaise kare .
Lekin beginners ke liye advice hai ki ap Stock options se market me entry le phir direct Index trading jaise Nifty or Bank Nifty Option trading me kam kare . Agar ap Option trading me kam krna chahte hai to as a beginner or as an intermediate trader apko in Stop loss rules ko follow krna chahiye :
- Apka stop loss phle apko decide krna chahiye is se phle ap apni trade len kyoki index trading me small stop loss instant hit ho jate hai .
- Risk reward ki baat kare to ap hamesha apni trade me starting me risk or reward ki ration 1:1 rakhen uske bad ap jaise jaise trained ho jate hai to ap 1 : 2 ki ratio me trade kr skte hai.
- Risk or Reward ka mtlb hai ki apko phle se determine krna chahiye ki ap kitne profit or kitne risk ke liye ek time period me ready hai . Isme time value ko jrur dhyaan rakhe .
- Risk or Reward decide apko instant bhi market me krna pd skta hai kyoki agar time value ke sath option me movement apko nahi milti hai to apko usme se exit kr jana hai .
Must Read : VLCC Franchise Business ko Kaise Shuru Kare and Investment Requirements
Zerodha or Angel One me Stop Loss Order kaise lagate hai ?
Demat account me apko kisi bhi trade me se exit krne ka option diya jata hai jisme ap apko khud se Stop loss or Exit Order place krna hota hai . India me two popular stock brokers me Stop loss order kaise place krte hai ye dekh lijiye :
- Zerodha Stop Loss : Zerodha me apko kisi bhi option me entry krne ke bad agar ap Buy krte hai to usme Sell k option ko click kare or apna required amount usme likh de jaha se ap exit krna chahte hai aur agar ap Sell krte hai to ap usme Buy par click kare taki ap apna Stop loss order place kr sake .
- Angel Stop Loss Order : Angel me ap Stop loss Order lagane ke liye do option choose kr skte hai Entry lete waqt ap Robo Order ko use kr skte hai ya phir ap Sidha Stop Loss Order par click karke Stop Loss place kr skte hai.
Agar ap Share Market me trading krna chahte hai aur janna chahte hai ki kaise ap small profits daily bana skte hai Trading Stop loss management ke sath , to uske liye ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .