Online investment krne ke liye apko share market or investments ki acchi knowledge hona jruri hai . India me about 18 percent population share market me invest krti hai jis se wo banks se jyada return earn kr paate hai . Share market me compared to normal investment options jaise Fixed deposit , post office schemes , PPF or recurring deposit bahut hi jyada return dekhne ko milta hai .Par ek beginner ke liye ye sochna mushkil hai ki agr wo share market me invest krna chahe to kaise invest kr skte hai aur agar wo share market me daily income krna chahe to wo kaise kr skte hai . Online Demat Account open krna hi unke liye ek solution hai .
Share Market me last ke kuch saalo me ek naya term bhi bahut jyda famous hua hai uska nam hai IPO – Initial Public Offer jisme log company ke share market me new share listing par blind buy krte hai aur listing gains earn krte hai jis se unhe accha profit hota hai . To ab tak apne padha hoga ki share market me kitne saare options hai earn krne ke liye lekin ap share market ko kaise join kr skte hai aur usme kaise trading krke earn kr skhte hai ?
Is sawal ka jawab hai ” Demat Account ” . Demat Account share market me kuch bhi transaction krne ke liye use kiya jata hai aur Demat account ki madad se hi ap share market me acche paise generate kr paate hai . Agar ap janna chahte hai ki kaise ap share market me income kr skte hai aur Demat account kaise use krte hai to is article me apko puri detail me samjhaya gaya hai .
Online Demat Account ka kya mtlb hai ?
Demat Account ek tool hai ya ise ap ek special account bol skte hai jisme ap apne kharide hue share store karke rakh skte hai . Demat Account ka istamal phle physical format me kiya jata tha jab log share market me invest krne ke liye paper shares ko buy kiya krte the aur unhe years ke liye hold krke rakhte they . Ab digital format me Demat Account open kiya jata hai jisme ap apne digital shares , digital gold , currencies , commodities or equities ko invest krke rakh skte hai aur unhe jab chahe bech skte hai .
Demat Account ko bank account ki tarah operate kiya jata hai jisme ap apko apne banks se funds add krke koi bhi investment krni hoti hai . For example , Reliance ka share price agar 3000 hai aur ap Reliance ke 10 shares = 3000 * 10 = 30000 ke shares lena chahte hai to ap apne Demat Account me in shares ko purchase krke hold krke rakh skte hai . Is se apko profit bhi ho skta hai aur loss bhi , dono situation ko ap aise samajh skte hai :
- Agar apne Rs 3000 me 10 shares liye hai aur next day Reliance ka price 3050 hojata hai to apko next day Rs50 * 10 = Rs 500 ka profit ho jata hai . Ap in shares ko aage aur bhi profit ke liye hold or exit kr skte hai .
- Agar apne Rs 3000 me 10 shares liye hai aur price next day 2900 ho jata hai to apko Rs 100*10 = Rs 1000 ka loss ho jata hai .
Demat Account kis kam ke liye istamal kiya jata hai ?
Demat Account kholne ke kuch basic objectives hote hai jaise agar ap long term investment share market me krna chahte hai to Demat Account open krke usme shares purchase krke 10 saal , 20 saal ya 50 saal ke liye rakh skte hai. Wahi par agar ap day basis investment krna chahte hai to ap single day me bhi ek investment krke us investment ko day profit or day loss ko book kr skte hai .
Demat Account me ap government digital bonds me bhi invest kr skte hai , digital gold me invest kr skte hai aur daily intraday trading krke apne liye daily or weekly or monthly income bhi generate kr skte hai . Demat Account govern kiya jata hai SEBI Guideliness ke ander jisme har investor or trader ko apna portfolio or investment ka ek account bana kar rakhna hota hai taki usme koi default transactions aur insider trading jaisi activities na ho sake .
Demat Account businessman or job person dono ke liye important hai , kyoki Demat account open krne se apko ek oppurtunity milti hai risk bear krke ek acche return share market se earn krne ki .
Demat Account Free me Online kaise Open kare ?
Jaise jaise new companies stock market me list ho rahi hai aur investors ka interest share market opportunities ki taraf bad raha hai Demat ko lekar competition or services bhi increase ho rahi hai . Demat ko lekar kisi bhi investor ko ye problem ati hai ki wo is myth ko man lete hai Demat Account kholne ke kuch charges hote hai lekin aisa kuch nahi hai . Aajkal Online demat account free me open ho jata hai or ap within single day apna demat account open kr skte hai .
Online demat account free open krne ke liye aur usme single registration me sabhi investment oppurtunites kholne ke liye Angel One Broking app me ap apna Demat Account khul wa skte hai . Angel One me demat account open krna bahut asan hai aur within single day without any charges isme demat account open ho jata hai . Angel One me demat account open krne ke liye is process ko follow kare :
- Angel One Official Demat Registration Page par jaaye .
- Is par apko apna mobile number , apni email id or apna ek username enter kr dena hai .
- Details submit krne ke bad apko Angel One Demat Team se Call ati hai ya Whatsapp chat par reply ata hai .
- Ap Whatsapp par Angel One Official Account par apne documents send krke apna account verify kr wa skte hai .
- Documents submit hone ke bad apka account create kr diya jaega .
- Apki email id par apke Demat Account login credentials bhej diye jaenge jis se ap ANGEL One app par login kr sakenge .
Demat Account me funds holding hoti hai ya nahi ?
Alag alag Demat Account me apko option milta hai ki ap investment krne ke liye per transaction bank se debit krna chahte hai ya phir ap apne Demat Account me funds ka option use krke usme funds add krke invest or trade krna chahte hai . Angel One Demat Account me ap funds invest krke aur funds hold krke bhi share market me invest kr skte hai aur acchi income kr skte hai .
Angel One ek trusted company hai jisme ap apne funds store krke trading or investment kr skte hai .Agar ap kisi bhi wajah se apne funds ko Angel One me bhul bhi jate hai to apko as per SEBI Quideliness ,har demat account me se sabhi balance quarterly apke account me transfer kr diya jata hai .
Must Read : Intraday Trading me Stop Loss Kitna Hona Chahiye
Demat Account Charges kitne hote hai ?
Online agar ap Option trading , equity trading or commodity or future trading jaise options me trading krte hai to apko per transaction in demat account me charge kiya jata hai . Agar ap Angel One ke transaction charges check or calculate krna chahte hai to ap is link se Angel One trading charges dekh skte hai .
Basic har demat account me ye charges apse ek saal me liye jaate hai :
- Annual Maintenance Charges
- Transaction based charges
- Taxes and Service Frees
Agar ap janna chahte hai ki kaise ap Angel One account me trading krke kaise acche paise kama skte hai aur share market me long term investment kaise kr skte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .