Digital trends ko follow krna aur acchi clothing or gadgets ko purchase krna Youth ke kai demands me se ek hai . Sabhi ko pasand hai ki wo trending fashion ke according chale or latest technology se bhi updated rahe . Dekha jaaye to smart phones ke bad jin gadgets ne Indian market me sbse jyada demand dekhi hai wo hai Smartwatches jisme kuch bade brands jaise mi , noise etc hi India me apne smartwatches ko ek premium collection me bech rahe hai . Lekin ye possible nahi ho pata ki har user in expensive smart watches ko buy kar paye jiske liye kuch cost effective solution ye hai ki wo local brands wali bhi smartwatch le jo equivalent brand ke mukable kam krti hai .
Smartwatches or mobiles gadgets ko lekar jaha big brands me race chal rahi hai wahi local shopkeepers bhi brand or local smartwatches sell krke acchi income kr rahe hai. Smartwatches kya hoti hai , inka use kya hai ye health band se jyada acchi kyo hai aur ap Smartwatches ke business ko kaise shuru kr skte hai sab apko is article me btaya gaya hai .
Smartwatches kya hoti hai ?
SmartWatches small watches or traditional watches ke comparision me battery operated watches hote hi jo ek small smartphone ki tarah kam krti hai . Ek smartwatch me apna body temperature , foot steps , heartbeat jaise health measurement features se lekar calling , messaging , multimedia playing or camera recording jaise features bhi use kr skte hai . Kuch smartwatches kisi bhi smartphone se sync hokar kam krti hai wahi par kuch smartwatches me ap SIM Card insert krke bhi use kr skte hai .
India me abhi popular smartwatch brands ki baat kare to in brands ki watches online or offline purchase kr skte hai :
- MI Smart Watch
- Fire BOTT Smart Watch
- boAT SmartWatch
- Noise Colorfit
- HUAWEI Band
- AmazFit
- Cross Beats
- Apple Watch
- Samsung Galaxy Smart Watch
- OnePlus Smart Band
Smartwatches ki kya demand hai or online kaise sell hoti hai ?
Smartwatches India me youngsters me bahut hi jyada popular hai aur gym freaks me bhi iski demand manifold ho chuki hai . SmartWatch ka ek important feature hai health measurement or Whastapp or call alerts jis se apka smartphone kitni bhi dur ho apko apni smartwatch par pata chal jata hai ki kiski call or kab aegi hai .Kuch watches me apko option milta hai ki ap call back kr sake aur apni watch ko ek bluetooth headset ke sath connect krke us par baat kar sake . SmartWatch ka business krne ke liye sbse jruri hai apne customer ki demand ko samajhna aur uske uses ko bhi .
SmartWatch business me apko sbse jyada online audience ko target krna hota hai aur apko as a Seller e-commerce companies pe register krna hai jis se ap online audience ko capture kar sake . Online agar e-commerce platforms or social media platforms ke classified section ki baat kare to Smartwatches ko sell krne ke liye sbse best option hai aur ap apna Smartwatch business shuru krke social media platforms or e-commerce platforms primary basis par target kr skte hai .
Online Smartwatches ka business kaise kare ?
Smartwatches ko online sell krne ke liye apko as an e-commerce seller banna hota hai . Ek ready made smartwatch procure krne ke liye ap Alibaba or related e-commerce websites se bulk me Smartwatches le skte hai . Agar ap jyada investment nahi krna chahte or local product se market analysis krna chahte hai to ap Delhi Karol Bagh Market or Kolkata Mobile Accessories market se wholesale me non-branded smartwatches ka business shuru kr skte hai .
Smartwatches ki primary selling ap apne local mobile shops or electronic stores se kr skte hai jiske liye apko kam se kam investment lagegi aur accha profit margin bhi mil jata hai . Iske alawa ap Smartwatch ka bulk order kisi company ke sath bhi le skte hai jaise boAT, Noise etc ,jisme apko GST par billing hoti hai aur apko ek margin space diya jata hai jise ap sale kr sake .
Agar ap ek branded watch online kisi e-commerce platform par bechna chahte hai to apko requirement hogi :
- GST Registration ki .
- Brand Authorization letter ki .
- Packaging ki
- Laptop and Internet Connection ki .
Smartwatches ke business ko kaise promote kare ?
Local Smartwatches me agar profit margin ki baat kare to apko kam se kam 50 percent se lekar 200 percent tak ka profit apko local smartwatches me mil jata hai . Wahi par agar ap ek branded Smartwatch ko sell krte hai to apko kam se kam 10 to 20 percent ka profit margin milta hai jisme apko promotion par jyada effort nahi krna hota . Agar ap apna Smartwatch ka business shuru krte hai to online ap bahut tariko se apne business ko promote kr skte hai :
- Instagram Influencer Marketing
- Google ADS OR Facebook Ads
- Whatsapp Marketing
- Website Promotion
- Social Media Sharing
- E-Commerce Store Advertising etc
To ap apne business ko online in sources ke through promote kr skte hai .
Also read : Intraday Trading me Stop Loss Kitna Hona Chahiye
Smartwatches ke business me kitni investment chahiye ?
Smartwatches ke business ko shuru krne ke liye ap alag alag format me kam kr skte hai jaise :
- Wholesale SmartWatch selling offline
- Smartwatch retail store
- Online Smartwatch e-commerce Store
- Smartwatch seller on e-commerce sites like Flipkart / Amazon etc .
- Smartwatch franchise
Smartwatches ko foreign market se import krne ke liye apko Import or Export Code hona jruri hai . Agar ap local market capture karna chahte hai to ap kisi bhi local wholesale trader or stockist se local brand ki smartwatches sell kr skte hai . Branded Smartwatches ka business krne ke liye ap online franchise ke liye company ki website par apply krna hoga. Agar ap franchise lete hai to apko kam se kam investment Rs 5 lakh chahiye wahi agar ap local brand target krte hai to kam se kam investment apko Rs 50000 ki investment chahiye .
Smartwatch business concept , India me abhi bahut low level par hai jisme ap first mover advantage lekar is business ko apne retail outlet or ek rented space se shuru kr skte hai . Isme for branding purpose apko premium customers ke liye branded Watches rakhni hogi wahi par agar ap apni websites ke through is kam ko shuru krte hai to apki investment bhi kam hogi .
Agar ap online smartwatches ka business shuru krne ke liye website create krwana chahte hai ya apna e-commerce store banana chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .