Orient Electric Ltd India ki ek bahut hi famous company hai jo sabhi electronic goods me deal krti hai jaise electric circuits , home appliances , switchgears , coolers , water coolers , heaters , fans , iron , grinders , toasters , induction cook tops etc . Orient electric ek SEBI Registered company bhi hai jiska share ap share market me bhi dekh skte hai . India me branded electronics ko lekar sabhi customers yahi chahte hai ki wo ek quality ka product le jinki unko acchi service or quality mile . Orient CK Birla group of companies ka hi ek part hai jiski wajah se company ko share market or product market dono me hi ek trusted company mana gaya hai .
Apne kisi bhi electronic store par Orient company products dekhe honge ,agar inki supply ki baat kare to Indian market me inki demand jyada hone ki wajah se Orient distributor se exentive apni ek brand chain offer krti hai jisme ap as an entrepreneur agar Orient company ki branding par Orient ke product sell krna chahte hai to ap apni shop or store par Orient company ki franchise lekar kam kr skte hai .
Agar ap Orient company ki franchise lekar business shuru krna chahte hai to apko is article me samjhyagaya hai ki kaise ap online Orient company distributor or franchise khol skte hai , apko iske liye kitni investment chahiye aur ap apne business ko kaise promote kr skte hai sab apko niche btaya gaya hai .
Orient Company Franchise Business ka kya kam hai ?
India me kyoki Orient , Philips aur kuch top ki electric companies me se ek mani jati hai apne competitors ki tarah entrepreneurs ko ek moka deti hai ki wo is brand ki chain ke sath jud sake . Iske liye koi bhi entrepreneur Orient company distributorship ya franchise store ke liye apply kr skta hai . Iske piche company ka main motive hai apne products ko jyada se jyada localities me sale krna aur apne product ki jyada se jyada promotion krna . Orient company apni franchise business owners ko deti hai chahe wo apne existing electric store me orient ke products rakhna chahte hai ya phir wo exclusive orient store banana chahte hai .
Orient company ki franchise lekar ap apna khud ka orient store khol skte hai ya phir ap Orient ke products ko bech skte hai . Orient company apko bulk purchase me accha discount deti hai jisme apko as per market pricing acha profit margin mil jata hai .
Orient Company Franchise Business me kitni investment chahiye ?
Orient company ki franchise or distributorship apply krne ke liye company me pura process online hota hai jisme apko company ka kuch investment criteria pura krna hota hai . Apko apni application me hi apni appropriate investment in business or apki previous asset holding or income sources company ko dikhane honge agar ap existing business kar rahe hai , agar ap ek new business setup krte hai to company ke according apko kuch security amount or minimum investment company me krni hoti hai .
Orient franchise business shuru krne ke liye apko basic investment chahiye :
- Land space or office space me jisme apko kam se kam 500 se 700 sq feet space chahiye .
- Agar ap Distributor franchise ke liye apply krte hai to apke pas Godown hona bhi jruri hai chahe owned ho ya rented.
- Security charges me apko brand security , other charges sab milakar kam se kam Rs 10 se 15 lakh is business me invest krne hote hai .
- Iske alawa apke pas office assistant ,marketing executives , billing support ke liye computer or basic internet jaisi facilities hona jruri hai .
Orient Company ki franchise kaise apply kare ?
Orient company franchise apply krne ke liye or iski jyada information lene ke liye company ne kuch marketing or information executives appoint kiye hue hai jo apko acche se guide krte hai ki apki location par ap kaise apna outselt setup kr skte hai aur apko minimum kitni investment krni chahiye . Sath hi company me wo marketing support or resources bhi dete hai jis se ap products ko local market me promote kr sake . Orient company ki franchise ko apply krne ke liye ap online is process ko follow kare :
- Orient Franchise Apply official website par jaaye .
- Contact us form par click kare
- Is form ko apko completely bharna hai aur apni requirement likhni hai .
- Ap is page par dikhaye contact options jaise email or mobile par bhi call kr skte hai .
Online Orient ke enquiry support ko bhi ap contact krke franchise ke liye apply kr skte hai . Is me as per your requirement , company executives apko guide krte hai franchise lene me .
Orient Company Franchise Business ke liye Registration kya kya chahiye ?
Orient franchise ko shuru krne ke liye apko kuch basic formalities puri krni hoti hai jisme sbse jyada chances apko approval milne ke tab hote hai jab apki location market se linked ho ya ap kisi market space me franchise office banana chahte hai . Agar ap ke distributor banna chahte hai to agar apke pas ek godown hai jo company ke criteria ke according hai tab bhi apko distributorship mil jati hai .
Agar ap apne area me franchise ke liye apply krna chahte hai to apko in documents ko company me submit krna hoga :
- Aadhaar Card
- PAN Card
- Voter Card
- Ration Card
- Electricity Bill
- Bank Account Details
- Phone Number or Email ID
- GST Registration
Iske alawa apko space ki ownership documents or rent agreement , declaration etc jaise or bhi kai documents depending on your investment or company ki policies me apko submit krne hote hai .
Also read : X-Ray Technician Ban ke X Ray Lab Open Krke Daily 50k se 100k Income Kare
Orient Franchise ki puri jankari kaise len ?
Agar ap Orient company se jud kar franchise business ko shuru krna chahte to ap company ke in contact points par apni query raise kr skte hai :
- Address : 240, 1st Floor, Okhla Industrial Estate Phase – III New Delhi – 110 020
- (Toll Free)1800 103-7574
- Email : [email protected]
- Email: [email protected]
- Email: [email protected]
- Phone: 079 – 6190 0005
Orient company apne versatile product range ke liye bahut famous hai jisme ap ek particular product category me bhi kam kr skte hai aur apne normal electric store me bhi Orient ke products direct company se purchase krke rakh skte hai . Agar ap orient franchise shuru krna chahte to apko sabhi btaya gaya criteria follow krna hoga aur support executives ki madad leni hogi store or distributor, supply chain management ke liye.
Agar ap hamse Orient franchise support ko lekar kuch puchna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .