MP Government free laptop scheme , scholarship scheme , free uniform and mid day meal scheme jaise kai saari scheme ko time to time introduce krti rhti hai . In schemes , ka main objective hota hai jyada se jyada students ko literate banana aur MP ke education system me incentive based improvements lana . In schemes , ke chalte pichle kuch saalo me MP me education or girl education ko lekar bahut acchi improvement dekhi gayi hai .
[lwptoc]
MP government in schemes ko poor families or farmer families tak bhi pahuchane ki puri koshish krti hai jis se inka benefit jyada se jyada logo tak ja sake . Aisi ek new scheme hai Medhavi Chhatra Yojana . Medhavi Chattra Yojana or Medhavi Chattra Scheme Madhya Pradesh Governement or MP Education department ka ek initiative hai un students ko higher education ke liye motivate krne ka jinhone ne higher secondary classes me aur secondary classes me acchi performance di hai .
Is scheme me kon apply kr skte hai , Medhavi Chattra Yojana 2022 kya hai aur Medhavi Chattra yojana me students kaise apply kr skte hai , sab is article me explain kiya gaya hai .
Medhavi Chattra Yojana kya hai ?
[wpforms id=”400″ title=”true”]
Medhavi Chattra Yojana ek effort hai MP Government ka un sab students ko reward dene ka jo meritorious hai aur studies me outperforming hai . Is scheme MP Government ne koshish ki hai , un sabhi students ko financial assistance or support provide krne ki jo 12th clear krne ke bad further studies krna chahte hai . Is scheme me apply krne ke liye government dwara ek eligibility criteria decide kiya gaya hai jisme students jo bhi 70 percent se above marks apne 12th ke result me MP Board se score krte hai unhe is scheme me enroll kr liye jaega.
Medhavi Chattra Yojana ke scholarship scheme hai jisme MP government ek particular amount student ke bank account me credit krte hai jis se wo apni further studies continue kar sake . Is scheme me MP board se alag jo bhi students agar CBSE aur ICSE board se bhi apni 12th pass krte hai aur above 70 percent score krte hai to wo is scheme me apply kr skte hai .
Medhavi Chattra me kon kon apply kr skta hai ?
Medhavi Chattra ka mtlb hai meritorious students . MP me har schools se kuch students ko based on their marks and scores in 12th select kiya jaega aur unhe is scheme ke ander financial assistance di jaegi . Is scheme me apply krne ke liye ke kuch eligibility criteria btaya gaya hai :
- Student MP ka resident hona chahiye .
- Students MP Board , CBSE Board or ICSE Board se 12th Pass hona chahiye .
- Family Income 6 lakh se above nahi honi chahiye .
- 12th Board examination me student ka above 85 percent and 70 percent score krna jruri hai .
- Scheme me further education ke liye funds hi liye ja skte hai .
- Medical or Science students bhi is scheme me JEE ya NEET ke examinations dene ke liye is scheme me apply kr skte hai .
Medhavi Chattra Yojana me apply krne ke liye kya kya documents chahiye ?
Medhavi Chattra Yojana me apply krne ke liye sabhi eligible students ko online MP board ki website ya MP education ministry ki website par register krna hota . Registration krne ke bad sabhi documents online submit krne honge. Apne marks or grades dene ke bad ap is scheme me apply kr skte hai . Is scheme me apply krne ke liye students ke pas kuch specific documents hona jruri hai :
- Aadhaar Card
- Identity proof
- Income Proof of the Family
- Residential Proof
- 12th pass certificate
- 10th pass certificate
- Application form copy of the college or competitive examinations .
- Bank Passbook
- Mobile Number
- Email Id
- Passport Size Photograph
Medhavi Chattra Yojana me application kaise kr skte hai ?
MCY ka objective hai ki sabhi students ko financially or morally help ki ja sake jis se wo apne future ko secure kr sake . Is scheme me apply krne ke bad MP government kuch hadd tak apko further studies krne ke liye apki puri help krti hai aur wahi par agar ap is scheme me apply krte hai to apko financial assistance direct apke bank account me di jati hai . Agar ap Medhavi Chattra Yojana me apply krna chahte hai to ap is process ko follow kare :
- Medhavi Chattra Yojana Official website par jaaye .
- Portal par jaane ke bad ” Register on Portal (New Registration ) par click kare .
- Registration Form ko completely fill kare .
- Registration ke liye complete details fill kare .
- Form complete krne ke bad Check Form Verification par click kare .
- Verification ke bad details ko submit kr de.
Registration ke bad login credentials se official MCY Website par login kare . Login krne ke bad ap apna application status is website par dekh skte hai .
Medhavi Chattra Yojana me kya kya benefits diye jate hai ?
MCY ka main objective hai un sabhi students ko financially help krna jo further studies ke liye finance raise nahi kr paate . Aur is scheme se sabhi meritorious students ki list prepare ki jaegi jisme unhe direct bank transfer ka benefit diya jaega jisme unhe MP government se scholarship direct di jaegi . Medhavi Chattra Yojana me milne wale benefits kuch is tarah se hai :
- Is scheme me apply krne wale students ko ek particular amount scholarship ke roop me diya jaega . Kuch cases me student ki complete education expenditure government offer kregi .
- Is scheme se students ko higher studies ke liye acche college or acche institution me admission lene me help milegi .
- Is scheme me medical , non medical ,engineering or finance se related education ke liye funds offer kiye gaye hai jis se ek acche college se students aage ki studies continue kar sake .
- Application submit hote hi , jald se jald student ko financial aid provide ki jaegi .
Also read : All About Maharashtra Nav Tejaswini Yojana 2022 Application and Benefits
Medhavi Chattra Yojana ki information ke liye kaha contact kare ?
Medhavi Chattra Yojana sirf ek scholarship scheme nahi hai , is scheme me higher education or equality in education ko bhi promote kiya gaya hai .Is scheme me ander girl child bhi further education ke liye apply kr skte hai . Sabhi documents aur application form online submit kiya jaega .
Agar ap Medhavi Chattra Yojana se jude koi bhi sawal authority se karna chahte hai to ap in contact points par contact kr skte hai :
Contact : 0755-2660063
Email : [email protected]
Agar ap Medhavi Chattra Yojana 2022 se jude koi bhi sawaal puchna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .