All About Maharashtra Nav Tejaswini Yojana 2022 Application and Benefits

Maharashtra Government ne apni latest cabinet meeting me ek aur manav kalyan yojana ko implement krne ke liye guidelines issue ki hai . Is guidelines ka nam hai Maharashtra Tejaswini Yojana . Is scheme ko propose kiya gaya tha 7 October , 2020 ko jisme is scheme ke support me Women Cell and Child Welfare Association jaise sabhi organisations ko iska favour vote mil chuka tha par kisi karno ki wajah se ye scheme implement nahi ki ja saki .[lwptoc]

Ab Maharashtra Government ne Tejaswini Yojana ko Nav Tejaswini Yojana ke nam se dubara issue kr diya hai jisme kuch changes ke sath is scheme ko Maharashtra me implement kiya ja raha hai . Maharashtra Tejaswini Yojana ke ander Women Empowerment ke liye 500 crore se adhik rashi Women held and controlled self help groups ko di jaegi jisme wo women ko help krti hai apna khud ka ek business start krne me .

Is scheme ka main objective hai har us women ki help krna jo apna ek business krna chahti hai par wo finance ya loan nahi le paati hai . Maharashtra Tejaswini Yojana kya hai , isme kya benefits milte hai aur isme apply krne ka kya process hai sab aapko is article me explain kiya gaya hai .

Maharashtra Nav Tejaswini Yojana Kya hai ? 

[wpforms id=”400″ title=”true”]

Nav Tejaswini Scheme Maharastra government ka ek initiative hai jo women empowerment ke liye effort krta hai . Is scheme me women ko SHG banane me aur financial assitance provide krwane ke liye is scheme me policies bnayi gayi hai . Is scheme ko Mahila Vikas Mahamandal ke rules ke according issue kiye gaya hai aur is scheme me 10 lakh se jyada families ko is scheme ka benefit dene ke liye is scheme ko launch kiya gaya hai . Is scheme ka main objective ye bhi hai ki sabhi female businesswomen or entreprenuers ko kam se kam byaa par loan provide karwaya ja sake wo bhi sabse kam formalities ke sath .

Is scheme me women ko ek avsar milta hai ki wo kisi bhi village se ho wo ek financial help ke liye apne near me Self Help Groups se loan le skte hai . Is scheme ko village ground par or bhi support krne ke liye International Funds for Agriculture Development (IFAD) organisation ne bhi is scheme me 190 se 333 crore ke funds provide krwane ka notification diya hai . Ye scheme help kregi female business grow krne me aur women empowerment ko aur bhi jyada stable krne me . 

Maharashtra Nav Tejaswini Yojana me kon apply kr skta hai ?

Nav Tejaswin yojana ko ek hi motive se shuru kiya gaya hai ki is scheme ki madad se jyada se jyada Self Help groups ko create kiya ja sake aur government ke through usme funding bhi include ki ja sake . Is scheme me apply krne ke liye sabhi village women , poor women or women from backward areas sabhi is scheme me apply kr skte hai . Is scheme me family income or women entrepreneurship ko ek ideal concept mana gaya hai loan or credit offer krne ke liye .

Is scheme ke liye basic criteria btaya gaya hai :

1. Applicant female above 18 year of age honi chahiye .

2. Applicant ki family income below 5 lakh honi chahiye .

3. Ek family se ek women hi is scheme ke liye apply kr skti hai .

4. Loan or credit facility lene ke liye applicant ko Self Help Group ka member banna hoga .

5. Is scheme me loan apply krne ke liye applicant women ka kisi aur bank se koi secondary loan nahi hona chahiye .

6. Women applicant ek Indian resident honi chahiye .

In criteria ko fulfil krke koi bhi women ko Maharastra me rehti hai is scheme ke liye apply kr skti hai . Is scheme me enrollment krne ke bad Self Help group ke dwara applicant ka data maintain kiya jata hai .

Maharashtra Nav Tejaswini Yojana me kya kya benefits milte hai ?

Nav Tejaswini Yojana me ek new concept Vikel to Pikel concept include kia gaya hai jisme Maharashtra sarkar sabhi recognised women SHG Groups ko financial aid provide karegi . Jise wo further women ko lend kar sake aur unhe kam rate of interest par loan or credit facilities de sake . Vikel to Pikel Concept me SHG ko ye initiative diya jaega ki wo women ko loans provide kare aur unhe ek business setup krne me bhi help kare .

Is scheme me ye bhi objective rakha gaya hai ki women ki developement , unke families me nutritious food aur financial aid provide karna aur Women ke sath ho rahe violence ko kam krna . Is scheme me women ke education , business , family support or health conditions par bhi focus kiya jaega jisme SHG funds ko women care ke liye bhi utilise kar sakenge aur village based women ke liye infrastructural developments bhi kar paenge .

Maharashtra Nav Tejaswini Yojana me apply kaise kr skte hai ?

Maharashtra me abhi Nav Tejaswini Yojana ko lekar kuch hi annoucements ki gayi hai . Is scheme me apply krne ke liye btaaya gaya hai ki complete online process iske liye rakha jaega aur scheme me direct entry SHG or women applicants ko benefits diye jaenge .

Is scheme me apply krne ke liye Government ne guidelines issue kr di hai aur jald hi is scheme ko ground level par implement kr diya jaega . Is scheme ko village me shuru hote hai sabhi villages me SHG banane me zor diya jaega jiski madad se women loan or credit facilities ke liye apply kr paengi.

Is scheme ki complete monitoring online Government ke Nav Tejaswini Portal se ki jaegi jisko abhi government dawara launch kiya jana hai .

Maharashtra Nav Tejaswini Yojana me apply krne ke liye kya kya documentation krna hoga ?

Nav Tejaswini Yojana me loan facility , grant for home needs or basic life necessities ke liye offer kiya jaega . Is scheme me apply krne ke liye government notified or ek recognised SHG se women credit facilities ke liye apply kr paegi. Is scheme me apply krne ke liye in documents ki jrurat pdegi :

  1. Aadhaar Details
  2. Family Income proof
  3. Address proof
  4. Passport Size photograph
  5. Mobile Number
  6. Email
  7. Objective document of loan .

Maharashtra Nav Tejaswini Yojana completely women self help groups ko create krne ke liye aur village women ko self dependent banane ke liye start kiya gaya hai. Is scheme ko state funds se finance kiya jaega aur iske direct beneficiaries women entrepreneurs hongi .

Also read : Make Work Freelancing Quotes and Earn Money Freelancing Online

Abhi Nav Tejaswini Yojana me apply krne ka process officially release nahi kiya gaya hai , jaise hi is se jude guideliness ati hai apko is blog me update kr diya jaega . Agar ap is article se jude koi bhi sawaal puchna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai.

Leave a Comment