India me poultry products or milk products ko lekar bahut demand rhti hai jisme jyadatar small scale entities work krti hai aur is business ko shuru krne ke liye funding se jyada care ki jrurat hoti hai . Hmare sab ke daily food intake me protein ki hmesha requirement rhti hai aur chicken , eggs or milk kuch aise products hia jo apki sabhi protein intake requirements ko fulfil krte hai . India me poultry business ek tax free business mana jata hai kyoki isme ap direct animal husbandry or agriculture activities me involve hote hai . According ko GST rules poultry farm business me agar ap packaged eggs or egg product bechte hai tab apko GST pay krna pdta hai .
[lwptoc]
Agar ap India me rehkar apna khud ka poultry business krna chahte hai aur janna chahte hai ki kaise ap is business ko shuru kr skte hai to ap is article me samjhaya gaya hai ki Poultry business ke liye kya requirements hai , apko kya kya license obtain krne hote hai aur ap apne business ko online kaise expand kr skte hai .
Poultry Farm Business Kaise Kare ?
Poultry farm business or chicken ka business shuru krne ke liye ap do tarike se apna business shuru kr skte hai . Ek poultry farm ke business me apko jyada se jyada space chahiye hoti hai chicks, chicken or eggs ki management ke liye . Isme apko ek structure bhi banana hota hai jis se chicks ka waste ek jagah collect kiya ja sake aur uske hataya ja sake aur wahi par apko chicks ke food ki management aur chicks ke liye ke particular temperature environment built krna hota hai . Poultry farm banane ke liye ap koi bhi agriculture land area le skte hai jisme apki kam se kam investment Rs 20 se 50 lakh ati hai . Ap ye land area rent par bhi le skte hai aur us par sabhi facility ko apko prepare krna hoga jis se as pas rehne wale logo ko koi problem na aaye .
Iske alawa ap Chicken or Poultry retail ka business bhi kr skte hai jisme ap ek plot or ek shop lekar apne chicks ke eggs or meat ko sell kr skte hai . Isme apki investment kam hoti hai aur chicks ke grow hone ke sath sath apki income bhi grow hoti jati hai .
Poultry Farm Business Plan kaise banaye ?
Agar ap Poultry farm business shuru krna chahte hai to uske liye apko land area se lekar material ke supply ke liye , food grains or poultry feed ki procurement ko lekar sabhi plans banane honge . Kyoki isme agar ek estimation dekhe to ap acres me Poultry farm ko grow kr skte hai jisme one time land investment aur poultry care equipment or medicines me apko regular investment krni hoti hai . Is business ko shuru krne ke liye :
- Land purchase kare ya rent agreement par ap apni capacity ke according land le skte hai .
- Atleast ek profitable business krne ke liye 50 chicks or chicken se shuru kare .
- Business ke liye registration jrur le jisme FSSAI License , Gumasta License or ek MSME Registration ap le skte hai .
- Business me transaction krne ke liye ap Current account open kr skte hai agar ap retail business krte hai to ap Saving Normal Account se bhi kr skte hai.
- Business promotion ke liye ap Banner or Pamplet banwa skte hai .
Iske alawa apko business ke liye medicine licenses or medicine stock license , poultry equipment or cleaning agents etc jaise small investments apko daily or weekly basis par krne honge .
Poultry Business ke liye Chicken Breed or Murgi Kaise len ?
Poultry farm me sbse important hota hai apke chicks ki breed jisme apko ye sochna hai ki ap kis breed ki murgi ko sbse jyada rakhenge aur kis ke meat or eggs se apko benefit hoga . Iske liye ap kisi bhi developed poultry farm me ja skte hai aur waha survey kr skte hai . Iske alawa ap Poultry farming ka course bhi kr skte hai jisme apko puri knowledge di jati hai ki ap kaise alag alag equipment ko use krke Poultry farming kr skte hai aur India me most demanded breed konsi hai .
Low price me chicks ko purchase or apna breed ki eggs sale krne ke liye ap village areas or low developed areas ko target kr skte hai jisme apki sales ke chances aur bhi bad jate hai . Agar ap Village me bhi apna poultry business setup krne ke liye partnership kr skte hai jisme ap unse low cost murgian le skte hai aur cities me hotels me supply kr skte hai .
Poultry Farm Business ke license kaise len ?
Poultry business ke liye sbse jruri hai FSSAI License and Aadhaar Udyog . Aadhaar Udyog ko apply krne ke liye ap UIDAI ki website par apply kr skte hai aur iske liye ap kisi bhi financial consultant ki madad le skte hai .Wahi par apko chicken or eggs supply krne ke liye ek FSSAI License ki jrurat pdti hai jise ap online FSSAI ki website se apply krskte hai . India me FSSAI License Food Safety Authority se milta hai aur apko business ko scale krne ke liye GST lekar bhi packed chicken bech skte hai jise ap Gst.gov.in se le skte hai .
In sabhi license ko lene ke liye ap kisi bhi ek financial consultant ki salah le skte hai aur apne near me Municipal Corporation or Municipality Office me jakar license ke liye apply or verify kr skte hai . Kisi bhi licenses ko apply krne ke liye apko kuch documents ki jrurat pdti hai jaise :
- Property Documents
- Aadhaar Card
- PAN Card
- Photos
- Shop or Land Photos etc
In sabhi documents ko apko online or offline tarike se submit krna hota hai jis se apko government authority se license mil jata hai .
Also read : Bank of Baroda me as a Banker or as a Loan Agent Job Kaise Search Kare Online
Poultry Farm Business ke liye loan kaise le skte hai ?
Poultry Farm business ek capital intensive business hai jisme apki one time investment land area ko purchase or rent krne me hoti hai aur iske liye apko finance ki bhi requirement hoti hai . Agar ap Poultry farm ka business krna chahte hai to ap business krne ke liye loan le skte hai , kis bank se loan apply krna hai aur bank apko kitna loan provide krta hai ye depend krta hai apke credit-ability par aur apki land holding or last business profit par . Poultry farm business loan ke liye ap kisi bhi bank ya NBFC ke pas ja skte hai . Agar ap loan lena chahte hai to ap personal loan ya business loan le skte hai jiske liye apko in documents ki jrurat pdti hai :
- Aadhaar Card
- PAN Card
- Income Proof (Income tax return )
- Land Property papers or Rent Agreement
- Bank Account details / Current Account for Business Loan
- Passport Size photos
- Address Proofs
- Guarantors for Business loan etc
Ye depend krta hai ki apka business kitna purana hai aur apki bank se credit-ability score kitna ata hai jis se decide hoga ki apko kitna loan provide kiya jaega .
Agar ap Poultry farm Business or Raw Chicken ka startup business shuru krna chahte hai aur hmse koi sawal puchna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .