Online website create krna aur use manage krna beginners ke liye bahut jyada difficult hota hai kyoki agar basic website building ki baat kare to apko har chiz coding krke banani hoti hai . Coding krke website banana bahut mushkil hai kyoki iske liye apko basic html se lekar python , php or bootstrap languages sikhni pdti hai jisme ap Xampp jaise servers ko istamal krna ana chahiye . Agar ap thode simplified way me dekhe to ap blogger.com ya Wix.com jaise website builder websites se shuru kr skte hai jisme apko coding knowledge to chahiye lekin full fledged coding se simplified way me ap website create kr skte hai .
[lwptoc]
WordPress sabhi website builders ka sbse best alternative hai kyoki WordPress me website banane ke liye na to apko coding language sikhni hoti hai aur na hi website me changes krne ke liye apko developer ko hire krne ki jrurat pdti hai . WordPress ek drag or drop website editor platform hai jis par themes , widgets or tools online plugins ke jariye use kr skte hai . Jinko WordPress ki knowledge hai wo jaante hai ki WordPress plugins ka kya use hai aur unhe kaise istamal krte hai.
Agar ap Website development me beginner hai aur janna chahte hai ki kaise ap Online WordPress Plugins use krke apni Website management kaise easy kr skte hai . Is article me apko WordPress Plugins ko kaise use krna hai aur must have WordPress Plugins kon se hai sab btaya gaya hai .
WordPress par website manage krna kyo asan hai ?
WordPress par online website create krne ke liye apko sirf domain or hosting ki jrurat hoti hai . Jaise hi ap Domain ko Hosting se connect kr lete hai to ap apni Hosting par jaise ek software install krte hai waise hi ap WordPress Install kr skte hai . WordPress Install krne ke liye is process ko follow kare :
- Go to Hosting Cpanel .
- Check for Softaculous > WordPress Install
- Click on WordPress Install > Select Root Directory as ” domain/wp-admin”
- Click on Install
Sirf is simple process ko follow krne ke se ap WordPress Install kr paate hai . Iske bad ko kuch nahi krna hota hai aur ap plugins or themes ki madad se Website ko design kr skte hai . Is liye kehte hai WordPress se Website ko banana or design krna sbse jyada asan hai .
WordPress par Plugins ka istamal kyo kiya jata hai ?
WordPress Website create krne ke bad sbse jyada jo problems apko face krni hoti hai uski design or us me hone wale faults ko lekar . Agar ap WordPress me ek theme select krte hai to automatically us theme me kuch plugins attached hote hai jo apko install krne pdte hai jo website ko smooth chalne me help krte hai . Wahi par essential WordPress plugins ke alawa ap kuch utility wale plugins bhi install kr skte hai .
WordPress plugins ka kam hota hai un features ko activate krna jin features ke liye apko ek normal website me developers hire krne pdte hai ya agar ap Google ya kisi aur company ka API ya koi aur feature ap use krna chahte hai to us website se connect krne ke liye apko plugins ki jrurat pdti hai . For instance , Google Analytics se apni website ke traffic ko check karne ke liye Google Site Kit Plugin use kiya jata hai .
WordPress Plugins se ap bahut saari activities kr skte hai aur user ke liye bhi apni website ko engaging bana skte hai . WordPress plugins free to use hote hai aur ap kuch plugins paid purchase krke bhi apni website par high end activities include kr skte hai.
WordPress Plugins kaha se install kr skte hai ?
WordPress Plugins ko install krne ke liye sbse jruri hai ki ap jis bhi hosting par apni website ko host krte hai wo acchi honi chahiye . Ek acchi hosting wali website se ap multiple task ek time par kar paenge or ap unlimited WordPress plugins install kr skte hai . WordPress plugins ko apni website me install krne ke liye apko ek process ko follow krna pdta hai :
- Go to WordPress Dashboard
- Check Plugins in the WordPress Menu
- For new plugins – Click on ” Add New ”.
- Search Box me apko WordPress Plugin ka nam likhna hai
- WordPress Plugin par ” Install ” par click kare .
- Install hone ke bad apko ” Activate ” par click karna hai .
Install hue plugins ap apni website par ” Plugin Section ” me dekh skte hai . Plugin Install krne ke bad ap uski ” Settings” section me us plugin se related settings kr skte hai .
Online Important WordPress Plugins for Website
Ek WordPress website par jruri hai ki ap un sabhi plugins ko use kare jo kisi bhi website ko manage krne ke liye jruri hai . Agar apki ek E-commerce website hai to uske liye apko kuch specific plugins chahiye wahi agar apna ek personal blog ya koi informative blog shuru krte hai to uske liye apko kuch alag plugins ki jrurat pdti hai . Agar ap WordPress par koi website banane wale hai to apko niche kuch plugins ke baare me btaya gaya hai apko in plugins ko SEO ke view or management ke view se jruri install krna chahiye .
Important Plugins for WordPress Website :
- Google SiteKit Plugin
- Table of Contents Plugin
- Yoast SEO Plugin
- WP Forms Plugin
- Social Share Plugin
- Make Stories / Google Web Stories Plugin
- Shopify Store Plugin
- Lazy Load Plugin
- Elementor WordPress Plugin
- WP Optimiser
In 10 plugins ko apko apni website ko create krte hi install krke activate kr lena hai . Har plugin ka ek different use hai aur inme se mandatory plugins ko install krne hi chahiye wo Google Site Kit jis se Google par website rank krne me help milti hai aur Yoast SEO Plugin se ap apni website ke har page or har post ka Search Engine Optimisation , Meta tags, Sitemap generation etc jaise kam automate kr skte hai .
Plugins ko use krne ke Benefits kya kya hai ?
WordPress plugins ko install krne ke bad apko website load hone me slow ho jati hai is liye apko apni website me wahi WordPress plugin install krna chahiye jinki apko jrurat ho agar apki website me koi plugins install reh jate hai aur wo activate nahi hai tab bhi wo apki website ki working par problems krte hai . WordPress plugins ko install krne se apko bahut se benefits milte hai jaise :
- WordPress par content post krne me help milti hai .
- WordPress ka SEO krne me help hoti hai .
- WordPress website design krne me help milti hai .
- Website par Artistic or additional features jaise OneSignal , Calculators or Tools dene ke liye bhi plugins ki jrurat hoti hai .
- Website SEO me kya problem arahi hai wo bhi apko Plugins se pata chal jata hai .
- Keyword Targeting krne ke liye bhi ap plugins ka use kr skte hai .
Aise or bhi plugins ka use krke ap apni website ko smoothly run kr skte hai .
Must Read : Online Room Rent Business Kaise Shuru Kare aur Income Kitni Hogi
Plugins se related Important settings kya kya kare ?
Plugins ko sahi se use krne ke liye apko Plugins se related settings me hmesha changes krna chahiye . Kyoki plugins ki waajah se kai bar apki website me kabhi kabhi structure problems ati hai jise solve krna mushkil ho jata hai . WordPress website se judi problems check krne ke liye agar ap Google Site Kit plugin use kare to ap Google Search console se apni website se jude errors dekh skte hai .
Plugins me ap sabhi important settins kr skte hai jaise agar ap Yoast SEO plugin use krte hai to isme ap apni website ka meta data or website se judi SEO information sab fill kr skte hai jis se search engines ko apki website crawl krne me help milti hai .
Agar ap apni ek website banwana chahte hai aur usme WordPress install krke WordPress Plugins ko use krna chahte to ap hame niche comment section me apni requirement bta skte hai .