Delhi or Mumbai jaise metro city me rehna or khud ka ghar dhundna asan nahi hai . Agar ap online rent ke liye rooms ya hotel booking krte hai to usme ap dekhte honge service fee or commission kitna percent charge kiya jata hai . India me apko kisi bhi Rent room or real estate service ke liye apko bahut se estate brokers or real estate agents mil jate hai . Unse agar ap koi rent ke liye room , office space or Work space lete hai to apko guarantee, paperwork or rent agreement ko lekar bahut problems ati hai . Isko simplify krne ke liye bahut se entrepreneurs ne online solutions dekhe jaise nobroker.in , olx properties etc .
[lwptoc]
Kyoki online or offline rental room or office space ki hmesha demand rhti hai to isme business opportunities bhi bahut saari hai .Agar ap online koi business shuru krne ke baare me soch rahe hai to rental or real estate se judi bahut si opportunities apko mil jaati hai . Online OYO business ki baat kare to is startup ko online shuru kiya gaya tha hotel booking ke initiative se or cost cutting ke objective se . Aise hi room rent business ke liye bhi online business setup kiya ja skta hai .
Is article me apko btaya gaya hai ki kaise ap apna Room Rent Business kaise shuru kar skte hai , is business ki offline or online marketing kaise krni hai aur is business me apko kaise or kitni income hoti hai sab apko btaya gaya hai .
Room Rent Business ko kaise shuru kare ?
Offline agar ap apne area me check kare ki kitne rooms khaali hai to apko har grade aur har quality ke rooms available mil jaenge . Jaise kuch room or house spaces ka rent hoga Rs 5000 or kuch ka hoga Rs 10000 or kai jagaho par apko is se kam me bhi room rent par mil jaenge . Room Rental ka business shuru krne ke liye sbse jyada jruri hai apko paperwork or rent parties ke baare me kya kya information lena hota hai aur kya kya disclose krna hota hai . Kisi bhi real estate business me apko sbse jyada problems ati hai wo paperwork ko lekar hoti hai kyoki agar ap usme koi clause ya koi terms miss kr dete hai to wo agreement void ho jata hai .
Room Rent ke business ko shuru krne ke liye ap basic door to door marketing kr skte hai jis se ap apni city me sabhi areas me jakar survey kr skte hai ki kis area me kitne rooms available hai or owner ki tenant ko lekar kya requirement hai . Is survey ko krte hue apko kuch khaas information jrur record krni hai :
- Owner ka name
- Owner space ke documents
- Rent Agreement ko lekar Owner ki requirements
- Demand of Tenants
- Accepted Rent
- Timeline for Rent Payment .
- Rent Facilities Electricity , Water Connection etc
To kisi ko bhi Rent ki service ya Rent Room dilwane se phle apko ye sab survey krna hoga . Ap offline is business ki marketing shuru kr skte hai jis se ap apne area me jyada se jyada data collect kr ske aur clients ke liye ap phle online facebook or public platforms jaise Olx , Classified networks , Job platforms par ap ad posts krke bhi ap clients ka data collect kr skte hai .
Room Rent Business me kya legal formalities hai ?
Rent Room Business me agar risk ki baat kare to apko is business me risk bilkul hi negligble milega kyoki agar koi bhi client apke through kisi area me Rent room leta hai to puri legal formalities ke sath kam kr skte hai . Legal Agreement , documentation or ID Verification or Police Verification ho jane ke bad ap kisi bhi tarike se koi problem is business me face nhi krni pdti . Is business se related kai saari formalities ka dhyaa rakhna hota hai jo ki apko is business ko krne se phle apne code of conduct me include krni hogi jaise :
- Proper Rent Agreement Create krna
- Id proof of Both Owner and Tenant apko apne pas rakhna hai .
- Rent Agreement ko legally notarize krwana hai .
- Police Verification krwani hai .
- Owner ke terms ka mention Rent Agreement me krna hai .
- Rent Payment Online or Through Bank Account hi honi chahiye
- Water Connection or Electricity Connection Proof hona chahiye .
Aise ap apni puri legal formalities complete krke safely without kisi legal suit ke is business ko shuru kr skte hai . Room Rent Business me apko legal formalities ka jyada dhyaan dena hota hai kyoki extreme case me legal agreement creator or entity jo agreement me involve hoti hai to unhe heavy penalty bhi deni pdti hai .
Room Rent Business me Online website banakar queries kaha se lekar aaye ?
Rent Room Business ko scale or expand krne ke best tarika hai ki ap apne business ko online lekar jaaye . Agar ap US or Canada ki market dekhe to waha par complete Buy or Sell or Rent ke liye rooms online check kiye jaate hai . India me Rent Business online bahut startups dwara kiya jata hai jaise housing.com , magicbricks.com etc . Lekin in startups ko lekar sbse jyada problem yahi hai ki ye websites hmesha metro cities or major cities ko hi target krti hai jisme ki apko bahut se aise states hai jo apko in websites ke coverage me nahi milenge .
Ap apne area ke according ek local Rent Room Business Website prepare kr skte hai jisme ap apne area me , apni city me , villages , or apne nearby cities me target krke apna businesss setup kr skte hai . Online Rent Room Business ki website setup krne ke liye ap is process ko follow kare :
- Buy a Domain from Godaddy.com
- Buy Hosting from Hostinger.com
- Install WordPress on Your Hosting and connect Hosting to Godaddy domain .
- Cospace Worpdress Theme or Normal Classified WordPress theme ko ap use kr skte hai
- Create Social Media Accounts of your brand
- Start Listing Room for Rentals in your area .
- Customers ki queries Classifieds par post krke or online website ko promote krke le skte hai .
Is process se apki starter business website shuru ho jaegi , jiske bad ap physically client queries aane par ap field me jakar customer aur owner se meeting fix krke legal formalities ka agreement kr skte hai .
Must Read : Jhatpat Connection Yojana Jhatpat Electricity Yojana in Uttar Pradesh
Room Rent Business me Income kaise kare ?
Agar ap Website building me beginner hai to ap apni website par simple apni service ke charges likh skte hai jisme jaise hi ap customer se connect krta hai to ap us se apni service fee charge kr skte hai , jiske bad ap separate Room rentals par commision bhi customer par le skte hai for negotiating ya accha Room dilwane ke liye . Wahi par agar ap house owners ko rental customers dete hai to ap unhe tenants ke liye service fee or commission charge kr skte hai .
Room Rent Business me Income aur bhi tariko se hoti hai jaise ;
- Charges for Legal Agreement
- Charges for Verification
- Charges for Documentation
- Charges for Additional Allowance or Personal guidance
- Quotes for Website Listing of Customer requirements or owner listing etc .
Rent Room Business ek complete service solution hai jisme ap kam se kam investment me kam kr skte hai aur apke liye marketing ka budget bhi bad jata hai . Agar ap is business ko shuru krne ke liye starter website banwana chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .