India ko ek electronic hub or smart technology hub ke nam se bhi jana jata hai . Dekha jaye to India me Infosys or IBM jaise computer tech companies or services tech companies bahut jyada hai sath hi India me service oriented startups bhi bahut hai jo domestic or international software, technical or service solutions provide krte hai . In solutions me technical equipment ke sath sath printing solutions ki sbse jyada demand rhti hai . Compared to agar international organisations , domestic service providers se alag agar ap printing or scanning ko lekar demand or product solutions dekhte hai to sbse phle jo nam ata hai wo hai Hp or Canon ka . Canon ek international company hai jo Worldwide printing or digital cameras se related solutios provide krti hai . Domestically log Canon ko business motive se Canon Printer Agency lene me bahut jyada interest rakhte hai .
Canon ek popular solution hai cameras , printing or scanning products or printing spares ko lekar . Canon initiated its business in 1937 in Tokio aur waha se wo phli company bani jisne cameras ko lekar ek behtarin range Worldwide sell ki . India me sabhi printing solutions ke liye Canon company ko sbse phle prefer kiya jata hai aur inki service or social responsibility objectives ko dekhte hue is company ne more than 10000 state based business centers open kiye hai . Ek acchi investment se business shuru krne ke liye Canon Printer Agency start krna ek bahut acchi opportunity .
Agar ap bahut samay se soch rahe hai apni Printing solution chain shuru krne ke liye to ap Canon Printer Agency ki franchise ya dealership lekar shuru kr skte hai . Is article ,me apko btaya gaya hai ki kaise ap Canon Printer Agency or Canon product franchise / dealership ke liye apply kr skte hai, apko kya kya requirements puri krni hogi aur kaise ap is apply kr skte hai .
Canon Printer Agency kaise kam krti hai ?
Canon Company Worldwide apna business operate krti hai aur isme har country har state me inke kuch regional channels , distribution channels or service channels established hai jis se ye apni services sabhi jagah pahuchate hai . Isme inka jo sbse popular product and service range hai wo printers or scanning solutions ko lekar hai jisme ye ek reliable or trusted brand mane jate hai . Canon sabhi entreprenuers ko ek opportunity offer krti hai ko wo canon ke sath milkar apna business establish kr sake to apne area me printing or scanning solutions ko provide kar sake .
Canon franchise or dealership ke liye apne country office ke through operate krti hai jisme entreprenuers ko ek opportunity milti hai Canon printer range ko bulk purchase krke apne store ke through sell krne ki ya Canon Service center open krke services provide krne ki .
Canon Printer Agency start krke ap printer accessories , printer services , printing solutions sabhi sell kr skte hai aur office or home requirement ke according ap alag alag companies se quotation lekar ap printing solutions provide kr skte hai .
Canon Printer Agency me kitni investment chahiye ?
Canon ek popular brand hai aur iski frachise lene ke liye ke liye apko furniture aur fixtures se lekar brand ki sabhi accessories or brand ki promotion par spending krni hogi. Canon franchise or distributor agency lene ke liye apko kam se kam investment Rs 50 lakh se 1 crore tak ki chahiye kyoki isme apko company ka minimum stock purchase krna hota hai aur apko company ki minimum billing requirements ke according agency ko run krna hota hai .
Canon sales agency me apko quarterly or yearly targets bhi diye jaate hai jisme apko un targets ko ful fill krna hota hai . Isme apko supply targets or purchase targets milte hai jiske according apko jyada se jyada investment chahiye hoti hai . Jab ap company ka stock purchase kr lete hai to marketing view se company apko marketing material de deti hai aur promotion spending company ki taraf se ki jati hai .
Overall apko brand promotion se jyada office space , equipment’s , furniture’s , spares or stock ke liye acchi investment chahiye .
Canon Printer Agency me kya kya service deni hoti hai ?
Canon printer agency me ap ek particular service or product category me bhi kam kr skte hai . Agar ap Canon printing solutions ko lekar kam krte hai to isme ap 2 category me kam kr skte hai :
- Canon Printing Solutions Distributorship
- Canon Service center
Canon Distributor or Service center start krne par ap in services ko de skte hai :
- Canon Printer Repair
- Canon Printer refilling
- Canon printing spare parts
- Canon Scanner repair
- Canon Scanner buy or sell
Ap organisation or schools or alag alag institutes par se ap printing solutions ke quotations bhej skte hai . Jaise ap kuch institutes ke sath ap join kr lete hai to ap retail customer ke sath organisations ke sath bhi services dekar acchi income kr skte hai.
Also read : SBI ATM Franchise Kaise Apply Krte hai aur Monthly kitni Income Kr skte hai
Online Canon Printer Agency Kaise Apply kare ?
Canon Agency he highly profitable franchise hai jisme ap printing solutions dekar income kr skte hai . Isme ap printer ka stock rakh kr bhi printers or unki accessories par accha profit margin rakh skte hai . Canon printer agency or franchise apply krne ke liye apko Canon sales network se connect krna hota hai kyoki company ne online application ke liye process nahi diya hai . Ap company ke sales network se apne area me franchise, distributorship or retail outlet ke liye confirm kr skte hai .
Online Canon franchise apply krne ke liye ap is process ko follow kare :
- Canon Service Network Page par check kare apne near by Authorised service center.
- Ap is Service Network se agar retail outlet or as retailer kam krna chahte hai to ap in se confirm kr skte hai .
- Franchise ke liye ap CANON India authorised office or country office executives se unke official address par confirm kr skte hai .
Address Canon India Pvt Ltd. Corporate Office Address : 7th Floor, Tower B, Building # 5, DLF Epitome, DLF Phase III, Gurgaon 122002 Telephone Number : 91-124-4160000 Fax Number : 0124-4160011
For enquiries ap company ke official address par contact krke sales or distribution ke liye complete process dekh skte hai . Is company me distributorship apply krne ke liye apke pas business registration , GST Registration , Income proof , address proof or banking details apko mention krna hota hai .
Agar ap Canon Franchise or Canon Printer Agency start krna chahte hai aur janna chahte hai ki kaise ap kam investment me Canon retail store bhi open kr skte hai to ap hame niche comment section me comment krke puch skte hai .