Online crypto ko lekar bahut se log interested rehte hai kyoki inme volatility ke sath acche profit or income krne ke chances bhi bahut saare ate hai .Worldwide Bitcoin / Ethereum jaise crypto to famous hai hi lekin ek naya coin jo market me phle se hi bahut discuss kiya ja raha hai wo hai Facebook ka crypto market me launch hone wala coin DIEM jise phle libra coin ke nam se btaya ja raha tha . Har insaan ye janna chahta hai Facebook apne crypto coin DIEM ko kab launch karega aur iska kya price hoga aur isme kaise trading ki jaegi .
Facebook ek aisa social platform hai jo pure World me sabhi jagah istamal kiya jata hai , is par entertainment purpose content , business content , promotional content etc apko sabhi tarah ka content mil jata hai . Facebook ke network ki jitni popularity hai utni hi popularity ke sath is coin ke price ko dekha ja raha hai aur abhi tak Facebook ne official kuch declare nahi kiya hai ki is coin ko kis platform par list kiya jaega . Abhi tak online Facebook DIEM se judi jo bhi information apko mili hai use accurate or up to the point nahi kaha ja skta kyoki usme Facebook or META ne abhi tak ise puri tarah se ready declare nahi kiya hai .
Agar ap janna chahte hai ki Facebook or META ke according Facebook DIEM Coin kya hai , isme future me ap kaise invest kar paenge aur iska price kya ho skta hai to ap is article ko dhyaan se padhe .
Facebook Diem (Libra) Kya hai ?
Facebook DIEM ek usual cryptocurrency hai jo ek special libra blockchain ki madad se launch kiya jaega . Yeh baki saari cryptocurrencies ki tarah hai jiska istamal payments processing or payments krne ke liye future me kiya jaega . Ise ek digital currency ki tarah jaise Bitcoin ek special blockchain methods or online e-wallets ke through transact ki jati hai waise hi Facebook DIEM ko bhi ek self created blockchain par list or trade kiya jaega .
Facebook DIEM currency ko launch hone ke bad ap iska use as a payment currency or as a holding currency ki tarah kar paenge jisme ap ise online purchase or kisi commodity or product or service ke liye trade bhi kar paenge . Is currency ko launch krne ka motive ye btaaya ja raha hai ki Facebook par ke accha payment gateway establish krne ke liye or payments ko aur bhi securely process krne ke liye is currency ko use kiya jaega .
Facebook Diem (Libra) Kab tak Launch kiya jaega ?
Facebook DIEM Currency ko phle as Libra coin launch kiya jana tha jis par company ke plans the ki wo normal kisi blockchain par ise list karenge lekin due to some internal issues company ko iski launch or iske nam ko lekar bad me changes karne pade . Abhi tak Facebook ki taraf se is coin ko launch krne ke kuch khaas directions nahi aaye hai . Par Facebook or META Team ne DIEM ke bare me additional information provide krne ke liye ek website platform bhi create kiya hai .
Bataya gaya hai ki Facebook DIEM ko 2 set me launch kiya jaega aur ise as a normal eardrop form me bhi promote kiya jaega. DIEM ko phle set me multi currency ke against trade krne ke liye launch kiya jaega aur dusre set me ise Dollar or USD ke against trade krne ke liye launch kiya jaega . DIEM Currency META DIEM Association se sath collaborate krke launch kregi .
Facebook Diem (Libra) or Bitcoin me kya difference hai ?
Facebook or META ki announcement ke bad log is chiz ko lekar confusion me hai ki Bitcoin or Facebook DIEM Currency me kya difference hai ? . Bitcoin ko abhi tak bahut si countries me as a legal payment method accept nahi kiya jisme ise illegal tender kaha gaya hai or iski koi tracking ya trading value na hone par iske receipt or remittance ki recording kr pana bhi mushkil hai .
Wahu par Facebook DIEM ko facebook jaise authentic network ke sath rakha gaya hai jis se iske legal tender banne ke chances bhi bahut bad jate hai . Facebook ko bitcoin ki tarah mining krke create nahi kiya ja sakega or Facebook DIEM ko marketplace or blockchain se hi purchase kiya ja skega.
Facebook Diem (Libra) ko Online kaise purchase kr skte hai ?
Facebook DIEM Launch date or trading value abhi tak decide nahi ki gayi hai aur wahi par META ne abhi tak iski purchase , trading or blockchain network ke baare me bhi koi disclosure nahi kiya hai. Agar ap Facebook DIEM Coin ko purchase krna chahte hai to iske liye apko kuch samay tak wait krna hoga jiske bad ap is coin ko Facebook ke social network ya kisi bhi network par as a payment method ya blockchains par trade hote dekh paenge .
DIEM Coin ki launching ke bad ap international crypto platforms par iski trading kr paenge aur iske long time holding ke liye purchase kr paenge . Agar ap Indian exchanges se DIEM me invest krna chahte hai to ap COINDCX jaise platform par invest or trade kar paenge .
Also read : Orient Company Franchise Business Kaise Kare or Franchise Kaise Apply Kare
Facebook Diem (Libra) Ka Use kya hai aur kaise krna hai ?
Facebook DIEM Coin ko lekar META ne apne DIEM network par DIEM Mini Wallet , DIEM Payment Gateway , DIEM Merchant Store or DIEM Reference Wallet jaise options ke baare me apni official website par btaaya hai . Abhi tak btaaya ja raha hai ki Facebook funded coin DIEM ko Silvergate Capital corporation ko sale kr diya gaya jisme se uske asli creators usme se nikalkar dusri company ko is platform ko sell kr rahe hai . Lekin ye company Facebook funded hai isliye is company ka future scope bahut accha dekha ja raha hai .
DIEM Coin ko payment gateways or normal financial transactions ke liye use kiya jaega. Ye itna easy hoga jaise ap kisi ko ek messenger application par funds send krte hai .
DIEM Coin or DIEM Blockchain ek trusted network hai jiske list hote hi apko is coin me invest krna hi chahiye . Agar ap future me is coin se related koi updates hamse lena chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .