Intraday Trading ke liye Minimum Investment Kyo Jruri Hai ?

Indian Share Market ke day wise breakups ko dekha jaaye to apko ek analysis milega ki market apko  situations me hi milegi ya to ap market me ek bullish run dekhte hai , ek bearish run dekhte hai ya ek sideways market dekhte hai . Market ek single day me kaisi rahegi to apko 2 hrs market opening ke bad pata chalta hai aur ye decide krna ki kis type ki trading krna hai Swing trade lena hai ya Intraday apko confuse kr dega . Share market me beginners ko ye samajhne me bahut mushkil hoti hai ki actually Intraday Trading kehte kisko hai aur Intraday trading me kitna profit or loss kiya ja skta hai .

[lwptoc]

Intraday trading ek facinated word hai short term gamble ka kyoki agar ap share market me bina knowledge ke koi decision lete hai to wo sirf Intraday investments or trading ke liye lete hai . Intraday me agar apka badluck hua to apka loss hoga aur agar apne galat option or future liye hoga to apka double loss hoga aur wahi par agar apki direction sahi hui aur option amount bhi sahi hua to apko ek accha profit bhi milta hai .

To basically Intraday trading kya hoti hai aur ise kaise krte hai , intraday trading se ap kitna paisa kama skte hai aur intraday trading me risk measurement kaise krte hai sab apko is article me samjhaya gaya hai .

Intraday Trading kya hai ?

Intraday Trading ka basic meaning hai kisi bhi investment chahe wo Stock hai , Option hai , future hai , Commodity hai ya currency hai usko share market me single day par buy or single day me sell krna . Iske hota hai ki apki investment me apko profit hoga ya loss hoga apko single day me pata chal jata hai . Lekin wahi par agar ap Stock or investment ko next day or few days krke delivery par hold krke rakhte hai to use intraday nahi kehte hai .

Intraday ka breakup meaning hai Intra + Day  = Single + Day .

Isme bahut jyada matter krta hai ki apka profit expectation kitna hai , apka choose kiya hua stock ya option slow moving hai ya fast moving hai aur profit ko least target me maximum krne ke liye ap kitna capital invest kr skte hai .Intraday trading me apko chahe option ho ya stock day timing yani market ke timing me hi apni trade ko close ya round off krna hota hai , agar ap galti se bhi round of krna bhul jate hai to apki investment zero bhi ho skti hai aur apka complete capital vanish ho jaega.

Intraday Trading me kitni investment hoti hai ?

Intraday trading me investment depend krti hai apki risk capacity par aur apki knowledge par kyoki agar ap share market me new hai to apko kam se kam investment ke sath kam krna chahiye . Ek new market trader ko kam se kam Rs 10000 chahiye market me trade krne ke liye aur profit krne ke liye . Lekin 10k ke capital me ap profit sirf stock options me hi kr skte hai .

Investment ka estimate lgane ke liye ap aise samaj skte hai ki alag alag investment ke hisab se ap inti investment se shuru kr skte hai :

  1. Equity trading = 30k
  2. Option trading = 35k
  3. Currency trading = 32k
  4. Index Option trading = 35k
  5. Commodity trading =40k

Intraday trading me agar ap real profits krna chahte hai to ap hame opinion me sirf In the money option hi trade kare aur agar ap stocks me trade kr rahe hai to Nifty 50 ki list daily check kare aur jis shares me apko momentum milta hai ap usme trade kr skte hai .

Kya kam Investment me Intraday Trading krna chahiye ya nahi ?

Intraday trading me Intrinsic value or time value ki bahut jyada importance hoti hai . Ye share market ke aise basic terms hai jise sikhe bina apko share market me trading ke baare me sochna bhi nahi chahiye kyoki ise jaane bhi ap daily losses karenge guaranteed .

Intraday trading me kam investment yani 5k or 8k invest krke sochna ki ap 30k ya 3 or 4 times apne capital ko kar lenge to ye possible nahi hai . Kam investment amount me apke pas ye option hai ki ap ya to ap Out the money options buy krenge ya phir ap low value or penny stocks par trade karenge. Agar apke pas investment hai approx 30 to 40k to ap share market me kisi bhi investment par invest krke acchi income kr skte hai .

Second isme factor depend krta hai ki ap usi time area ya schedule me trade kare jisme ap market ko watch kar sake kyoki Intraday trading me profit or losses instant or kai baar hour ke time frame me bhi ho jate hai jisme apko constant monitoring rakhni hai ki ap kis side tak apni entry or exit plan krna chahte hai aur ap kitni der market ko watch krte hai .

Intraday Trading ke liye kya kya chahiye ?

Intraday trading ke liye phle ke expert broker or trading firms ki jrurat hoti thi jo ya to apka trading account handle krti thi ya phir apko calls provide krti thi .Lekin SEBI guideliness ke according , agar ap direct share market me trading krna chahte hai to ab ap apna Demat Account or Bank Account demat account se link krke bhi trade kr skte hai.

Iske alwa apko ek trading view ka account bhi chahiye aur ap extra trading setup find krne ke liye Trading softwares jaise Sensibull or Tradetiger jaise applications bhi apne laptop par use kr skte hai . Agar ap mobile par trading krte hai to uske liye apko sirf trading view app ki jrurat pdegi.

Also read : Canon Printer Business Franchise Kaise Len aur Business Kaise Shuru Kare

Intraday Trading me loss kab hota hai ?

Intraday trading new trader ke liye isliye mushkil ho jati hai kyoki in Indian Share Market there is no space for losses under 2000 . Agar apki Intraday risk capacity hai Rs 2000 or above ek din me to apko share market me trading krna chahiye . Intraday trading me losses hone ke kai karan hai :

  1. Greed to apko trade me se nikalne nahi deti aur ap additional profit ke liye ap baithe rehte hai aur exit nahi krte.
  2. Stop Loss fixing nahi krna , agar apko ye nahi pata ki apko kitna loss lena hai to ap us trade me enter mat hona aur phle apni loss percentage ko decide kare .
  3. Out the money options me Intraday trading krna , jbki hmesha apko In the money options hi lena chahiye .
  4. Poor Chart Analysis or sirf Indicator based trading krna bhi kabhi kabhi problem kr deta hai .

Online share market me long term investment sirf employed logo ke liye sahi hai jo log apne job time se alag ek passive income krna chahte hai lekin unko Intraday trading kabhi nahi krna chahte . Lekin ek full time trader ban kar bhi ap Intraday trading kr skte hai aur daily acchi income kr skte hai . Agar ap Intraday trading krna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .

Leave a Comment