Online aise bahut se Online testing platforms hai jis par reviews or feedback dene par logo ko paise diye jate hai , isme logo ko kisi product ko use krne ke bad ya kisi service ko purchase krne ke bad user ko reward kiya jata hai uska feedback provide krne me . Isme ye jruri nahi hota ki user ka feedback positive ho ya negative .
Aise hi online kuch aise platforms hote hai jo mobile applications , softwares , websites , games , surveys test krne ya complete krne par freelancers ko pay krti hai .In websites par micro jobs or tasks users ko diye jate hai jise complete krne par ya feedback dene par freelancers ko pay kiya jata hai .
Online freelancers ko content jobs , data entry jobs ke alawa kuch special tasks bhi milte hai jisme unko kuch applications or websites ko test krne ke liye paise diye jate hai . Online Testing applications or platforms par income kaise ki jati hai , application testing , website testing or feedback surveys kya hote hai aur in platforms par kaise work hota hai sb is article me explain kiya gaya hai .
Testing Applications and Platforms kya hote hai ?
Testing Applications ka basic meaning hota hai jisme ap mobile applications kuch task complete krte hai jisme apko us application me di gayi kuch mobile applications ko test krna hota hai aur use completely use krna hota hai . Jiske bad apko ek survey me apna feedback dena hota hai . Kyoki in surveys ke liye users or testers ko pay kiya jata hai isliye in surveys ko carefully banaya jata hai .
Surveys ke basis par company ke owners , application developers ya platform developers kuch decision par apaate hai ki us platform ko lekar kya kya changes kiye jane chahiye . Applications or websites ki testing ke liye kuch specific time period diya jata hai aur us testing task ko complete krne par kuch amount unke wallet balance me de diye jate hai jiska wo payment le skte hai.
Application test krne ke liye users ko application ka link aur ek time schedule diya jata hai jisme unhe application ko test krne ke bad apne reviews dene hote hai .
Application Testing se paise kaise kamate hai ?
Application testing platforms par income kaise hoti hai ye depend krta hai ki apko kitne task aur kitne variety of task us platform par diye jate hai . On an average alag alag task ke liye alag alag amount freelance testers ko offer kiye jate hai jaise :
- Application Testing Rewards : 1 $ to even 300 $ and so on .
- Website Testing Rewards : 0.01 $ to even 1000 $
- Software Testing Rewards : 100$ to even 5000$
- Survey Completion Rewards : 10$ to 1000$ per survey .
- Feedback Rewards : 5$ to 100$ per feedback shared .
Mostly , sabhi testing platforms apne testers ko online payment methods ke through pay krte hai jisme Direct Wire transfer , Paypal or Payoneer jaise payment gateways ke through payment di jati hai .
Online Popular Application testing platforms konse hai ?
Online legit or fake testing application platforms bahut saare hai aur ye choose krna bahut mushkil hai ki konse platforms apko really pay krte hai aur kin platforms par apka time waste hota hai . To apka time save krne ke liye niche apko kuch platforms ke baare me btaya gaya hai jin par ap as a developer or as a freelancer join krke applications or website test krke income kr skte hai .
Platforms for Earning Money by Testing Mobile Applications
- Qmee
- Enroll
- Current Rewards/Mode Earn App
- PlaytestCloud
- FeaturePoints
- TryMyUI
- Rewardr
- TesterWork
- QuickRewards
Platforms for Earning Money by Testing Softwares and PC Applications
Platforms for Earning Money by Testing Websites
Application , Website or Platform testing me kya difference hai ?
Online testing platforms par as a tester join krne ke liye kisi bhi freelancer ko ya kisi bhi developer ko register krna pdta hai . Wahi par kuch aise platforms hai jo ki ek prequalifying test lete hai testers ka before making them join the platform . Aise me testers ko us test ko clear krna hota hai sabhi ek registered tester banne ke liye . To ye jruri nahi hai ki koi bhi freelancer application tester , website tester ya software tester ya phir sabhi ban jaaye . Is ke liye qualifying test clear krna jruri hota hai .
Apni knowledge ke according freelancers jyada tar mobile application testing aur developers or coding professionals website testing or software testing ko choose krte hai jisme as per their project unko rewards diya jata hai . Sath hi application testing me time for testing lagbhag 20 second se 5 min tak ho jata hai aur website testing me 5 minutes se kai months bhi lag jate hai . Toh in testing platforms me time or project ke according differences dekhe ja skte hai.
Testing platforms kaise income krte hai ?
Testing Platforms specific platforms hote hai jin par mobile application developers or website developers ek acche user experience ke liye sample based testing krwate hai . In platforms par developers ko ek accha feedback report milta hai ki unki services ke according users ki kya demand hai aur unhe kya kya improvement krna chahiye . Testing platforms par tasks or surveys built krne ke liye in developers ko platform par funds add krne ke aur apne task built krne ke option milte hai .
Kyoki ye platforms user view se trusted platforms hote hai isliye developers in platforms ko jyada se jyada payment dete hai apne applications ko check krne ke liye aur testers ko employe krne ke liye jis se in testing platforms ki income hoti hai aur ye aage distribute bhi kar pate hai .
Also read : MP Board Free Laptop Yojana in Madhya Pradesh for Students to Apply in 2022
Freelancers and Developers testing platforms se kaise income kr sakte hai ?
Freelancers ke liye application testing ya website testing platform ek passive income source hai jis se wo easily weekly ek acchi income generate kr skte hai . In platforms par wo simply register krke task complete krne par weekly or monthly payment le skte hai jiske liye multiple payment options inhe offer kiye jate hai .
Testing platforms par main income sources hote hai :
- Income from app / website testing
- Income from surveys
- Income from surveys
- Income from app purchases etc
Agar ap in testing platforms ko kaise use krte hai aur kin testing platforms par ap kam kr skte hai ye janna chahte hai to ap hame niche comment section me apni queries share kr skte hai .