Whatsapp Marketing ka Business Kaise Kare – Start Online Whatsapp Marketing Agency

Worldwide dekha jaaye to Whatsapp Google ke bad use hone wala second most popular application hai internet par. Agar is application ke content or services ki baat kare to Whatsapp ke messenger application hai jo apko help krta hai kisi se bhi internet se connect krne ke liye . Whatsapp ko na sirf chatting purpose ke liye balki business processes or business marketing ke liye bhi instamal kiya jata hai . Business ko khaas aage lane ke liye Whatsapp Business ne apna version launch kiya tha jis par log apni business community , business contacts or business shop open krke apne business ko promote kr sake .

Whatsapp ek bahut hi acha medium hai apne business ki advertisement krne ka aur youth jo online employement oppurtunites khoj rahe hai wo bhi Whatsapp par marketing ke jariye acchi income kr skte hai. Whatsapp Marketing digital marketing ka ek part hai aur isko karne se logo ka business me better clientele or reputation built ki jati hai jis se log business ko trust kr sake aur us business ke products ko use kare .

Whatsapp Marketing future me aane wale businesses ke liye ek bahut hi accha marketing tool hai . Agar ap janna chahte hai ki Whatsapp Marketing kya hota hai , ise kaise kiya jata hai aur is se ap kaise income kr skte hai to apko sab is article me explain kiya gaya hai .

Whatsapp Marketing kya hota hai ?

Whatsapp Marketing ka basic meaning hai Whatsapp par apne ya kisi aur business ki profile banakar Whatsapp par us business ki promotion krna . Whatsapp promotion se ap contact based customer ko targets kr skte hai aur prospective customers ko sidha contact kr skte hai ya unki queries ko answer kr skte hai jis se buyer ko apke product me aur bhi jyada interest ata hai aur wo apke brand ke baare me aur bhi information le pata hai . For instance , agar ap apne area me Dell laptop franchise lena chahte hai to iske baare me aur bhi information lene ke liye ap DELL Company ke main Whatsapp Support par bhi message krke Dell franchise ke baare me aur information le skte hai . Ye Whatsapp Marketing ka ek part hai .

Whatsapp Marketing me apko as a marketer kuch points dhyaan rakhne hote hai :

  1. Whatsapp par ap apne client ke business ki professional profile banate hai .
  2. Whatsapp me ap apne client ko marketing ke liye content or creatives banakar dete hai .
  3. Ap apne customer ki bulk Whatsapp message sending me help krte hai .
  4. Whatsapp marketing me apko apne client ki queries or support par bhi dhyaan dena hota hai .
  5. Whatsapp par consistent posting ke liye apko work krna hota hai .
  6. Whatsapp par new offers or schemes develop krni hoti hai .

Aise as a digital marketer apko Whatsapp marketing me apne client ko ye sab services deni hoti hai.

Whatsapp Marketing ke liye clients kaise dhundte hai ?

Whatsapp Marketing me sbse jruri hai ek perfect marketing plan ko develop krna aur apne service package ke according clients dhundhna . Clients dhundne ke liye apko sbse phle apna ek brochure jrur banana chahiye jise ap apne sabhi queries or prospective sales audience ko bhej sake . Us service brochure me ap apni price , terms of services or apni services , working hours , support contact etc sab mention jrur kare .Whatsapp marketing ke liye clients dhundna bhi bahut easy hai iske liye apko online kuch platforms or kuch special tips follow krni hogi :

  1. Facebook ek sabhi business groups me apko join hona hai aur apne ideas ko waha btana hai .
  2. Ap creative images or promotional messages bhi Facebook or Instagram  jaise social media par dal skte hai.
  3. Ap direct customer ki website ke through unke contact us page se unhe contact kr skte hai .
  4. Whatsapp par ap daily story posting jrur kare aur apni contact list me roz 10 se 20 contacts new add kare .
  5. Apni service ko ap insta , telegram or website ke through bhi ap promote kr skte hai .

Bulk Whatsapp Sending or Whatsapp Marketing me kya difference hai ?

Log isme confuse ho jate hai ki Bulk Whatsapp Sending or Whatsapp marketing same hai lekin aisa nahi . Bulk Whatsapp Sending , Whatsapp marketing ka ek part hai aur marketing ek broader concept hai jisme ap advertisment se lekar , campaign promotion se lekar , audience retention se lekar results analysis tak sabhi kam krte hai . Bulk Whatsapp marketing ka basic meaning samjhe to ye ek process hai jisme ap apne clients or prospective clients or suppliers or associates ke contact list prepare krke unhe ek sath ek message forward krte hai aur un se aane wale response ko analyse kr skte hai .

Bulk Whatsapp messaging ke liye apko kuch online tools ki jrurat hoti hai aur ye Whatsapp Marketing ki main activity hai jisme apko ek accha or creative or to the point ek CTA (Call to Action ) create krna hota hai . Whatsapp bulk sending ke liye apko online programs or web based programs mil jate hai jo completely internet se operate krte hai .

Whatsapp Sending Applications kaisi honi chahiye software or web based ?

Whatsapp marketing ke important concept hota hai Web based marketing / Cloud marketing or  Internet based software marketing . In dono me difference hota hai ki ap offline software marketing me software ke use se kuch creatives or apna promotional message design krte hai aur use ek PC / Laptop based software se promote krte hai . Isme jab tak apka internet apne PC/ Laptop se connected hai tab tak offline software work krta hai aur net disconnect hone par apka campaign wahi stop ho jata hai .

Cloud Based Whatsapp Sending application me apko sirf promotion message create krne ke tools nahi milte balki , report analysis , category based sending, A/B Whatsapp message testing jaise features bhi milte hai . Cloud based marketing me apko ye fayda rehta hai ki agar apka internet connection slow hai ya disconnect bhi hota hai to apka campaign run krta hi rehta hai . Ap apne software ko kisi hosting par store krke use run kr skte hai .

Also read : DR. Lal Path Lab ki Franchise Agency Kaise Len aur Kitni Investment hoti hai

Whatsapp Sending business me kitni income ho jati hai ?

Whatsapp Sending ke liye badi badi companies Digital marketing companies ke sath associate krti hai aur jo bhi acche results driven kam deta hai unhe accha pay bhi krti hai . For a beginner , digital marketing ka complete course krne ki bajaaye agar ap sirf email marketing or Whatsapp marketing jaisa niche pakde to ap isme monthly 30k to 45k aram se earn kr skte hai .

Whatsapp Marketing me apko campaign design krne ke , contact list build krne ke ,customer responses ke aur results driven kam krne ke acche paise milte hai . Agar ap local nearby companies ko target krke daily ek campaign shoot bhi krte hai to daily ke 5 campaigns ka ap 1500 se 2500 bhi charge kr skte hai . Jis se ap monthy acchi income kr paenge . Agar ap Whatsapp Marketing ke online / cloud based tools lena chahte hai to ap google par bahut se tools available hai unhe check kr skte hai .

Investment ki baat kare to Whatsapp Marketing ke business me apko kam se kam investment ek Bulk sending tool par or internet par krni hoti hai to ap is business ko kam se kam Rs 50k me kar skte hai aur monthly potential ki baat kare to according ko your creativity ap is se about Rs 1 lakh tak generate kr skte hai . Agar ap Whatsapp Marketing or Bulk Sending ke baare me aur janna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai . 

Leave a Comment