Online best income sources me se ek hai advertisement revenue . Agar ap online ek content creator hai to apne alag alag sources to suna hi hoga jaise Youtube or Website monetisation lekin agar compare kiya jaye to apko bloggers or content creators se jyada Video creators jyada milenge kyoki Blogging or app development me coding ka istamal hota hai aur coding sikhne ke liye apko kafi samay lag jata hai . Online earning krne ke liye sabse accha source hai Video content ko create krna aur use publicise krna . Online ap apne content ko tabhi publicise kr skte hai jab apke pas ek community ya audience ho jiske liye apko nirantar kam krte rehna chahiye . META Instream Ads aisa hi ek platform hai jo apko ghar baithe bhi acchi income de skta hai .
[lwptoc]
Facebook par agar apka ek personal ya professional account hai to ab ye platform sirf connection or chatting ke liye nahi reh gaya hai . Is par ap apna content publish krke ads revenue se acchi income kr skte hai . Facebook or META Instream Ads network par ap kaise kam kr skte hai aur is se kitni income kr skte hai sab apko is article me samjhaya gaya hai .
Facebook par Income karne ke kye source hai ?
Facebook connectivity ke mamle me World ka biggest platform ban chuka hai kyoki isme apko har country or har topic se related groups , pages , profiles , ads or videos sabhi dekhne ko milta hai. Jaise jaise ye platform grow hua to Facebook ne apne platform ko creator place bana diya jis se log apne business ko bhi promote kr sake or is se acchi income kar sake . Business promotion ke sath sath unemployed youth ko kam dene ke liye or ek income source banane ke liye Facebook ne pichle kuch saalo me bahut effort kiya hai .
Facebook par agar currently dekha jaaye to bahut easy tarike hai income krne ke :
- Facebook META Instream Ads
- Facebook Reels Monetisation
- Facebook Stars
- Facebook Subscription
- Facebook Live Monetisation
- Facebook Gaming
- Facebook Instant Article
- Facebook App Monetisation (Audience Network)
Upar ke kuch methods me apko coding ana jruri hai aur kuch me apko sirf video banana ana chahiye jis se ap sirf engagement lakar bhi income kr skte hai.
Facebook par META Instream Ads kya hai ?
Facebook META Instream Ads ek video monetization platform hai jisme agar ap Facebook Page ko agar create krte hai to ap apne Page ko monetise kr skte hai . Iske liye apko kuch unique content post krna hota hai aur is platform se apki videos par national or international ads dikhayi jati hai . Is platform ka main focus hai brands ko accha business dena aur content creators ko unke content ke liye reward krna .
Facebook META Instream Ads se monetise krne ke liye apko ek criteria ko follow krna hota hai jiska main criteria hai :
- Facebook Page par 10000 followers ya us se jyada .
- Facebook Video Watch time 6 lakh minutes ( 10000 hrs) 60 din ke ander
- 5 Live Videos on the page
- No copied content
- No Music content
Is criteria ko apko pura krna hota hai jis se apke Facebook Page ko META Monetise kr deta hai aur apko monthly apki creation ke liye payment ani shuru ho jati hai .
META Instream Ads me apply krne ke liye kya ideas hai ?
META Instream Ads me kam krne ke liye sbse jruri hai ki apko apne dimag se kuch unique content banana hoga aur use apko audience me ek acche title or tags ke acche se SEO krna hoga . Facebook Video SEO ka mtlb hai Facebook Search Engine Optimisation . Iska basic meaning hota hai ki sirf apko videos post nahi krni hai apko apni har video par sahi se tags or title , thumbnail apko apni har video par krna hoga. Agar ap Facebook pages ke liye videos banana chahte hai to apko kam se kam 6 months apne page par daily video post krni hai .
Facebook page monetize krne ke liye ap in niche ke upar kam kr skte hai :
- Funny Videos
- Cement or DIY Hacks
- Clothing
- Entertaining Craft Videos
- Daily Life videos
- Mobile Repairing Videos
- Machinery Drawings Videos
- Plot or Property Structure designs
- Paintings or Drawing Videos
- Quiz Videos
Iske alwa ap cars or mobiles par bhi video create kr skte hai lekin apko ye dhyaan rakhna hai ki apko apne content me jyadatar live activities ya apna face jrur dikhana hai jis se apke content ko facebook or bhi jyada promote krta hai.
META Instream Ads se ap kitne paise kama skte hai ?
META Instream Ads par ap jab bhi apna page monetise krwa lete hai to ap us par bahut tarike se income kr paate hai . Har page ke main income sources hai Stars, Subscribe or Instream ADS . Agar per view ki calculation par jaaye to dekha jaye to per thousand views par apko Facebook ki taraf se 5 se 10 dollar mil jate hai , ye depend krta hai RPM ke upar aur CPM ke upar ki apka content kaisa hai aur apko content ke viewers kaise hai .
Agar minimum dekha jaye ki ap daily ek video post krte hai aur apke daily views 5000 ke pas ajate hai to ap monthly revenue 200 se 500 USD per month Instream Ads se kar skte hai .
META Instream Ads se income krne ka roadmap kya hai ?
Facebook par kam krne ke liye apko basic ek format ko follow krna hota aur ek definite niche ko choose krna hota hai . Agar apke pas kuch specific niche me confusion hai to ap 3 se 4 niche choose krke un par pages bana skte hai aur un par kam kr skte hai . Agr ap ek video bhi sbhi pages par post krte hai to apke kam se kam ek month me 10k followers complete ho jate hai . Jiske bad apko Facebook Group creation par focus krna hai aur apne pages ke liye kuch groups create krne hai jisme ap apne content ko instant share kr sake .
Jab ap ek month ke bad apne content ko create krke groups me share krte hai to apko Facebook Recommendation me help milti hai aur apka Watchtime bhi jaldi complete hota hai . Agar ap chahe to ap Facebook ADS Platform ka use krke bhi apna bacha hua Watchtime pura kr skte hai jis se apko page grow krne me jaldi madad ho jaegi .
Jaise hi apka Watch time or follower criteria pura hota hai to ap use Monetisation ke liye submit kr skte hai .
Also read : VLCC Franchise Business ko Kaise Shuru Kare and Investment Requirements
Facebook se Payment apko kaise milti hai ?
Facebook par Instream ADS Monetisation me apko consistency rakhni hai jis se apke Page ya apke account ki reach badti rehti hai dusra apko pages par reels ke liye effort krna hota hai jis se apko accha khasa revenue mil jata hai . Baat kare Facebook revenue ki to apki earning jaise hi 100 dollar cross krti hai to apko per month facebook ki tarf se payment bhej di jati hai jo ki sidha apke bank account me ati hai .
Facebook ki payment ap apne bank account me ya ap paypal ke account me bhi le skte hai . Iske liye apko apne bank account ki details aur apke bank ka SWIFT Code pata hona chahiye .
META Instream ADS Platform ek opportunity hai sabhi youngsters ke liye ki wo online video create krke aur content create krke acche paise kama ske . Agar ap Facebook par baki income methods janna chahte hai ya Instream ads se jude koi sawal hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .