DR. Lal Path Lab ki Franchise Agency Kaise Len aur Kitni Investment hoti hai

DR Lal Path labs medical line me or medical services ko lekar pure India me mashoor hai . Is company ko 1960 me shuru kiya gaya tha jisme sabhi basic medical test se lekar medical treatments or checkups ke liye support diya jata hai . DR. Lal Path labs India me medical franchise bhi offer krti hai jisme ap medical equipments or machines rakh kar kuch medical tests kr stke hai aur ek acchi income kr skte hai . DR Lal Path lab bahut se doctors or medical professionals recommend krte hai aur wahi par agar ap Insurance ke liye kisi company se koi plan lete hai tab bhi Dr Lal Path lab ke tests mange jaate hai .

[lwptoc]

Agar ap ek new business shuru krna chahte hai to is path lab ki franchise lena apke liye bahut acchi oppurtunity hai . Sath hi apko isme kuch khaas jyada investment bhi nahi krni hoti aur ap rental space lekar bhi is path lab ko start kr skte hai .

India me ap kaise Dr Lal Path lab franchise ko open kr skte hai , isme minimum kitni investment hogi aur kaise ap isme work krte hai aur isme kaise apko income hoti hai sab apko is article me explain kiya gaya hai .

DR. Lal Path lab agency me kya services milti hai ?

DR Lal path labs me apko 1000 se lekar 2000 ya usse jyada test ke options hote hai . Isme apko har test krne ke liye kuch equipments or kuch chemicals rakhne hote hai jis se ap sabhi test kr paaye . Agar DR Lal Path lab franchise ka business krna chahte hai to ap iski franchise ko lekar complete training le skte hai ki apko kaise kaise or kon kon se test krne hote hai .

Isme basic tests ki baat kare to ap ko in tests ko franchise lene ke bad krna hoga :

  1. Radiology Test
  2. Diabetes Test
  3. HIV Test
  4. Viral Infection Tests
  5. Fever Tests
  6. Heart Diseases
  7. Hypertension
  8. Infertility

Ye sab test krne ke liye apko kam se kam investment Rs 1.5 crore ki chahiye hoti hai lekin ap apni investment ke according tests ko select kr skte hai aur training le skte hai .

DR. Lal Path lab franchise agency me kitni investment chahiye ?

Kyoki ye ek popular medical test franchise hai aur in ke medical centers apko biggest insurance companies ke sath associated milte hai to apko iski franchise lene ke bad income krne me koi problem nahi ati . High demand or service value ki vajah se is franchise ko lene ke liye apko kam se kam Rs 10 lakh ki investment chahiye or apko is franchise manage krne ke liye kuch medical executives ya medical students ki bhi jrurat pdti hai.

To agar ap apne area me Dr Lal Path lab shuru krna chahte hai to ap sidha company me franchise ke liye apply kr skte hai jisme apko total minimum investment Rs 10 lakh chahiye . Is se alag apko furniture or fixtures or space ke liye bhi accha khaasa amount chahiye . Ap is lab ko rented space se bhi kr skte hai .

Isme ap 2 tarike se franchise ke liye apply kr skte hai jisme :

  1. Diagnostic Center open krne ke liye apko minimum investment Rs 1.5 crore chahiye .
  2. Retail vendor or small test lab ke liye apko minimum investment Rs 3 to 4 lakh rupees chahiye .

DR. Lal Path lab agency franchise lene ke bad kya kya support diya jaega ?

Agar ap ek non-medical background se hai aur is franchise ko lena chahte hai tab bhi apke liye medical area me enter krne ke lye ye sbse acchi franchise option hai . Dr Lal Path lab franchise me ap agar ek retail or diagonostic center franchise ke liye apply krte hai to apko company ki taraf se puri equipments or support diya jaega .

Franchise support me apko sabhi information or software se related training di jaegi jaise :

  1. Testing procedures apko btae jaenge.
  2. Ek lab assistant apko appoint ki jaegi
  3. Onsite franchise software training apko di jaegi .
  4. Head office experts apko material , equipment’s or supplies ko lekar puri training denge .
  5. Marketing or Advertisement support bhi apko diya jaega .

Aise agar ap franchise apply krte hai to start from making of the franchise unit till wo running me nahi ajata tab tak apke unit me company se agent apko puri technics or knowledge ke sath training dete hai .

DR. Lal Path lab agency me kitni income hoti hai ?

Dr. Lal Path lab me chahe ap Diagnostic center khole ya retail outlet ap bahut tarike se in lab test me income kr skte hai . In labs ka sbse jyada proportion apko milta hai insurance companies se jisme ap companies ko reports dete hai aur insurance plans lene me customer ki help karte hai wahi par apko per sale generate krne par commission di jati hai .Diagnostic center me ap ki income direct hoti hai jo bhi patient apko pay krta hai .

Lekin agar ap retail or test krte hai aur basic test franchise lete hai to apko usme per test me se commision income hoti hai jisme apko 25 to 30 percent ki commission depend on location or depend on test mil jati hai . Jaise suppose agar ap kisi ka heart test krte hai aur usme 300 charge krte hai to uska 25 percent or 30 percent yani Rs 90 apko as a commission pay kiya jata hai .

Must Read : VLCC Franchise Business ko Kaise Shuru Kare and Investment Requirements

Dr Lal Path lab franchise ko kaise apply kare ?

DR Lal Path lab franchise ko apply krne ke liye apko pura process online complete krna hai jisme apka form submit hone ke bad company ki taraf se apko call ki jati hai aur franchise me investment , equipment or training ke baare me puri information de di jati hai . Franchise apply krne ke liye is process ko follow kare :

  1. DR Lal Path lab ki official website par jaaye .
  2. Website par sbse niche jaane ke bad ” Become a Partner ” par click kare .
  3. Apko ek form show hoga jisme apko sabhi details fill krni hai .
  4. Form submit krna hai .

Form submit krne ke bad apko company ke executive se call ki jati hai ek physical visit or verification ke liye jiske bad apko franchise se related complete detail bta di jati hai aur isme kitni investment hogi aur apko kaise sab task krne hai uske liye bhi complete training path lab ki marketing team se apko diya jata hai .

Agar ap Dr. Lal Path lab franchise business ko shuru krna chahte hai ya kisi or medical or other business ki franchise ke liye apply krna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .

Leave a Comment