Blogging ek hobby , ek professional activity ya ek corporate service kisi bhi tarike se jani ja skti hai . World me kahi bhi blogging or content writing ko ek business ki tarah dekha jata hai . Jaha USA , UK , Canada jaise Tier 1 countries me Blogging ek professional job or career making oppurtunity hai wahi par India me Blogging ko for granted liya jata hai . Lekin agar Blogging ke potential ki baat kare to India me kai aise professional bloggers bhi hai jo sirf content ke base par crores me income generate krte hai aur content driven sales se crores ki companies me kam krte hai .
[lwptoc]
Aise me Blogging ko ignore kr pana mushkil hai aur ap ye kabhi nahi keh skte ki Blogging can not be a business or a service to provide . Is article me apko explain kia gaya hai ek improtant relation ke baare me jo Blogging or Affiliate Marketing ke bich hai . Affiliate marketing kya hai aur ise log mis understood kyo kr rahe hai wo bhi apko samjhaya jaega . To is article ko dhyaan se padhe .
Blogging Kya hai aur Affiliate Marketing se kaise link karta hai ?
[wpforms id=”400″ title=”true”]
Blogging ka sirf ek simple meaning hai content ko product , service , time , event or moment ko ek base banakar uska ek descriptive content prepare krna jise padne me users ko accha lage aur ho sake to us content se use kuch productive krne ko mile . Blogging ke types bhi bahut tarah ko hote hai jaise product based content , event based content , knowledge based blogging , travel blogging etc.
Ab suppose , ap kisi trip par jate hai aur ap aisa travel blogger ek Blog shuru krte hai to usme kya income sources or income streams ko ap include kr skte hai uske baare me sochie . Isme sbse phle ata hai advertisements. Online advertisement platforms kuch basic revenue dete hai jo is blogs se wo generate krte hai apne advertisments show krkte . Uske alawa ap product sell krke ya commission based selling krke bhi income kr skte hai jise Affiliate selling kehte hai . Affiliate marketing ka mtlb hai kisi company ke product ko promote krna taki reader ya viewers uska buyer ban jaaye. Jiska simple meaning hai ” to influence ” .
Upar ke example me agar ap ek travel blogger hai to apke blog par readers bhi adventure sports , travelers aur commercial or fun lovers hi aenge. Aise me ap is audience ko target krke affiliate marketing se sports clothes , accessories , water bottles , travelling shoes etc promote krke sales generate kr skte hai .
Kya Blogging ek full fledged Business ban skta hai ?
Ek blogging journey start krne ke liye ke website + domain or ek content writer se jyada aur kuch nahi chahiye hota hai . Par isme kya ye kaha ja skta hai ki Blogging ko ek business ke tarike se dekha ja sake . Sbse phle question yahi ata hai ki agar Blogging me acchi income hoti hai to sabhi online content writing shuru kar denge to product manufacturing or distribution koi nahi krega par aisa nahi hai . Blogging ek skill hai aur iske sikhne ke ek language me expert hona , content ko lekar confidence or earning ko lekar kafi patience rakhna hota hai jo har koi nahi krskta.
Blogging ko ek business ki tarah shuru krne ke liye in steps ko follow krna jruri hai :
- Sbse phle apko content writers hire krne ke liye sochna chahiye jisme ap apna business minumum 5 writers ko hire krke shuru kr skte hai .
- Blog SEO management team ke liye ap 2 ya 3 marketing expert ya freelancer marketers ko hire kr skte hai jisme ap phle unhe work schedule par rakh skte hai ya task based pay kr skte hai .
- Blog content posting ke liye or social promotion ke liye ap 1 or 2 marketers bahut hai .
Aise ap sirf skilled team ko include krke ap apna blogging ka business shuru kr skte hai .
Blogging Business me Affiliate Marketing kaise support krta hai ?
Blogging business setup krne me apko start me hi kam se kam Rs 50k se Rs 1 lakh tak ki investment ki jrurat pdti hai to agar ap blogging setup banate hai to apko multiple income sources ko bhi usme include krna hoga jis se apko monthly pay krne me koi problem na aaye. Affiliate marketing apke liye ek secondary source ban skta hai income ke liye jisme ap multiple affiliate networks or essentially hosting affiliates or Amazon affiliates jaise network use kr skte hai .
Aise me jaise ap ek organic traffic par target krte hai to apko ek traffic me ad revenue ke benefits ke sath sath apko affiliate sales bhi milti hai . Affiliate sales me ap alag alag commission networks or app affiliate platforms bhi use kr skte hai .
Blogging Business me jruri hai ki ap aise niches par focus kare jo jyada rewarding hai aur apna content highly convertible banaye jis se sales ko lekar viewer influence ho jaaye .
Blogging Business se Income kaise hoti hai ?
Blogging Business me income sources ki baat kare to blog business ke low investment but highly returnable business hai . Is business me ap sabhi expenses nikalne ke bad monthly Rs 1 lakh to Rs 5 lakh aram se earn kr skte hai . Blogging Business me high brand value banane par apko in tariko se income kr skte hai :
- Advertisement Revenue
- Affiliate Revenue
- Revenue from Sponsored or Guest Posts
- Revenue from Special Downloads
- Revenue from Link Revenue Platforms
- Revenue from Influenzers
Iske alawa jaise jaise ap blogging krte hai to apke liye new new income streams nikal kar ati hai jaise creative designing income , income from freelance writing for others , SEO management services etc .
Also read : All About Maharashtra Nav Tejaswini Yojana 2022 Application and Benefits
Blogging Business shuru krne ke liye kya investment chahiye ?
Blogging Business shuru krne ke liye apko kam se kam investment amount Rs 50k to Rs 1 lakh chahiye hota hai jisme apko ek particular business plan ke according chalna hota hai . Business shuru krne ke liye ap apne funds isme adjust kr skte hai :
- Buying Laptops or PC Computers
- Buying Yearly or Monthly Hosting Plans
- Buying Premium Themes and Plugins for Websites
- Buying Domains and SSL Security Encryption Packages
- Investing in furnitures and fixtures
- Adding human resource like content writers to business etc
Inme ap apne funds ko manage kr skte hai aur apne budget ke according apne blogging business ko shuru kr skte hai .
Agar ap ek particular blogging business plan nahi bana pate hai to ap hamse apna feedback share kr skte hai aur hmse apne queries share kr skte hai . Agar ap hmse kuch puchna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .