Online Equity Intraday Trading Kaise Sikhe – Open Interest & Investment

Online share market me investment krna jitna easy lgta hai utna hota nahi kyoki new demat account holders ko account open krne se lekar buy or sell trade lene tak bahut si baate sikhni hoti hai . Share market me har chiz jaise kis security me trade kare or kisme invest , kis time par entry le aur kis time par exit aur profit booking ka sahi tarika kya hai ye sab janna bahut jruri hai .Share market me ek myth hai ki is market me knowledgeable person hi profits krte hai aur compared to market total investors , sirf 1 percent log hi profit kr paate hai . Samajhne ki baat ye hai ki trading ap kaise sikh sakte hai aur 1st week se hi profitable kaise ho sakte hai . Iska basic tarika hai Equity trading sikhna .

Equity trading ek less risky trading or investment mani jati hai kyoki market me kisi bhi stock ki volatility matter krti hai ki wo stock kitna move krega aur kitne investors aur traders ready hai us stock me trade krne ke liye . Equity Intraday trading isme bahut hi interesting concept hai jo apko sikhna hi chahiye jis se ap jaldi se income krna shuru kare .

Is article me apko btaya gaya hai ki kasie ap apne mobile se ya apne laptop se Equity trading kr skte hai aur kaise ap ek beginner ki journey se ek professional trader ki taraf bad skte hai . Agar ap janna chahte hai Equity Intraday trading me profit making kaise hoti hai to is article ko dhyaan se padhe .

Equity Intraday Trading kya hota hai ?

Equity ka basic meaning hota hai kisi company me ownership lena . For instance , agar ap Maruti Company ke share price ki baat kro to suppose uski current value Rs 8000 hai aur ap iske 10 shares buy krte hai to apko total Rs 80000 share market me Demat broker ke through pay krne honge jis se 10 share apke demat account me ajaenge . Ise kehte hai long term trading in equity kyoki ap in direct stock purchase kiya hai aur ap day profits ke liye nahi ap long term profit ke liye is stock ko apne pas 1 week , 1 month ya 1 year ya us se jyada apne demat account me ap rakhte hai .

Intraday trading me  3 tarike se trading krte hai jisme ap single day me stock ko buy or sell krte hai aur profit or loss book krte hai  . Stock option yani PE or CE lete hai aur single day me quantity me trade krke profit book or loss book krte hai . Iske alawa ap Futures me trade krte hai jisme quantity bahut jyada hoti hai aur investment bhi bahut jyada hoti hai jisme apka risk or reward bhi bhut jyada hota hai .

Equity Trading me Kitna Investment chahiye ?

Equity Intraday trading ap bahut hi kam investment se shuru kr skte hai . Agar apka view kisi stock ke liye bullish hai to ap us stock ki single quantity lekar minimum 500 se practise purpose ke liye start kr skte hai . Lekin agar ap market me high investment par equity lete hai to ap Option trading shuru kr skte hai jisme ap Stock option me minimum investment Rs 10k se shuru kr skte hai.

Options ka basic meaning hai ki suppose Maruti ka current price Rs 8000 hai aur apka view bullish (upside) hai to ap Maruti ka 1 lot option Maruti 8000 CE (Call Option ) @ Rs 24 le skte hai jiski investment Rs 2400 hogi kyoki isme apko minimum 1 lot lena hai aur 1 lot me 100 Maruti ke shares count hote hai . To apka profit or loss apki direction or apke lot size ke upar depend krti hai . Isme apko Buy or sell krne ke liye bhut jyada practise or paper trading ki jrurat hoti hai .

Equity Trading se alag Index Trading Kyo nahi karna chahiye ?

Share Market me Volatility or Scalp trading jyadatar professional traders hi kar paate hai kyoki unhe market me rehkar is time ka experience ki wo ek particular time frame par market ki movement ko samajh jate hai . Ek beginner ke liye hmesha best rehta hai ki wo slow time frame or less volatile stock par hi kam kare jis se uski income chahe kam ho lekin uski earning bahut jyada hoti hai .

Index Trading ka mtlb hota hai Nifty or Bank Nifty me trading krna jo ki market ke sbse volatile index mane jate hai . Inke options apko share market me Rs 9 se lekar Rs 1500 tak bhi mil jate hai , kyoki iske basics bahut alag hai aur volatility ko samajhna ek beginner ke liye mushkil hota hai to market me entry krne se phle kisi bhi trader ko equity trading se shuru krna chahiye .

Equity trading ke liye apko in basics ki knowledge hona jruri hai :

  1. Trend Lines
  2. Price Action
  3. Option Chain Data Analysis
  4. In the Money / Out the Money Option
  5. Delta , Theta , Vega , Gamma and Rho
  6. Buy and Selling Options
  7. Profit Booking and Re-entry
  8. Stop Loss Management
  9. Physiological Balance
  10. 1 or 5 percent rule.

Agar ap in basic topics ko sikh lete hai ,to ap guarantee share market me profit kr lete hai kyoki ye padne ke bad ap share market ko charts ko ek alag view se dekhte hai .

Index Trading ke basics Equity Trading se kaise milte hai ?

Equity trading ko 1 hr time frame or 15 minute time frame par kiya jata hai . 1 hr time frame par trading krne se apke ander ek physiological balance or patience built hota hai jis se ek volatile investment me acche se trading kr paate hai . Agar ap dekhe ek new beginner share market me Index trading me short term profits banane ke liye effort krta hai aur uski dependency signals par jyada hoti hai rather than his own conclusion . Aur , beginners market ko predict krte hai rather than actual happening , jisme wo ye nahi sochte ki share market didnot care about their view .

Equity trading me option trading krne se ap indicators , buy or sell ka use , stop loss ka use , perfect entry or exit krna sab sikh jaate hai jise ap practically bhi Index options trade krne me help le skte hai . Share market me koi bhi index ek equity share se bana hai jaise agar ap ACC Cement ka stock dekhe to use Nifty Commodities me list kiya jata hai aur Banking Stocks ko Nifty Bank or Bank Nifty me . Toh aise Equity trading se ap automatically Intraday Index trading sikh jaate hai .

Equity Trading Safe hai ya Index Trading ?

Equity intraday trading krne ka basic motive ye hota hai ki apke 2 purpose solve hote hai agar ap direct stock trade kr rahe hai to ap delivery order lagakar apni marji se apna profit single day me or ek saal tak bhi book kr skte hai aur Intraday trading me ap ko bahut time mil jata hai sochne ka ki stock kis side move karega jisme apke win win chances bahut bad jate hai . Ek beginner ke liye ye jruri hai ki wo 1 ya 5 percent rule ko follow kare jisme wo unta hi risk bear kare jinta hold kr skte hai . Time frame slow hone ki wajah se analysed trading acche se ho pati hai .

Index trading is a pure gamble like situation jisme ap sahi tarike me tukke basis par kam krte hai kyoki isme agar Volatility jyada hai to apko bahut dhyaan se entry or exit plan krna hota hai .Bank Nifty ko ek volatile index mana jata hai agar ap iske option me trading krte hai to apko about 10 percent to 30 percent capital loss within seconds bhi ho skta hai .

Also read : Online Ladies Tailor Business kaise Kare or isme Kitni Income kar Skte Hai

Equity Trading me Option Trading kaise hoti hai ?

Equity Intraday Trading krne ke liye ap Out the money option se practise kr skte hai . Lekin is ek professional trader banne ke liye apko ek particular discipline follow krna hai aur apne bucket list me kuch selected stocks hi rakhne hai jise ap trade karenge . Is se apka analysis aur bhi better ho jaega .

Equity Option trading krne ke liye apko ek demat account account ki jrurat hoti hai to ap hmesha trusted brokers ke sath hi apna demat account open kare . Demat account kholne ke liye ap in brokers ki help le skte hai :

  1. Angel One
  2. Zerodha
  3. Upstox
  4. ICICI Direct
  5. Groww

Online equity intraday trading sikhne ke lie ap online bahut se youtube channels bhi follow kr skte hai . Agar ap Equity trading me profit kaise krte hai janna chahte hai to ap hame niche comment section me apne sawaal bta skte hai.

Leave a Comment