Online daily use ke according ap alag alag mobile applications use karte hai . Abhi dekha jaaye to koi bhi mobile application or website developer na hi sirf local market ko target krke ek mobile application banata hai balki international users ko bhi target krte hai jis se unka revenue jyada ho sake . Mobile applications ko use krna hmari daily life ka hissa ban chuka apko messenger applications se lekar online video editing , photo editing , chatting applications or utility ke bhi bahut saare mobile applications online mil jate hai . Online in applications ko app developers create krte hai aur is se acche paise kama lete hai.
Online mobile application banane ke liye phle app developers or coders ki jrurat pdti thi jisme wo coding krke apne clients ko mobile applications chahe wo Android ka ho ya IOS ka banakar dete the aur apne client ko us ap se income krne me help krte the . Ab online bahut se options agaye hai jis se ap apna mobile application khud se develop kr skte hai aur usme product sales or advertisement krke bhi revenue kr skte hai .
Mobile application develop kaise kiya jata hai , kaise ap ise online develop kr skte hai aur kisi mobile application income kaise hoti hai sab apko is article me samjhaya gaya hai .
Mobile application develop krna kya hota hai ?
Mobile application ko basic software’s hote hai to ap apne mobile me use krte hai . Kisi bhi mobile me kuch basic mobile application hoti hai jaise camera application , radio application or calculator application is se alag ap kuch application Google Playstore or IOS Store se download krte hai unhe use krne ke liye jaise Whatsapp Application , Video Editor application , PhotoEditor Application etc .
Mobile Application develop krne ka mtlb hai ki logo ki demand ke according mobile application ko coding se ya coding ke bina banana taki log usse use kr sake . In applications ko online alag alag platform par list kiya jata hai jaha se users inhe download krte hai . In applications se developer ko ek accha revenue milta hai chahe wo subscription model se ho ya ad revenue se .
Android Mobile Application Builder kya hai or kaise use krte hai ?
Kisi bhi beginner ke liye ye possible nahi hota ki wo sabhi coding languages ka basic sikh paye aur ek acche level ka app developer ban paaye kyoki isme kam se kam kisi bhi developer ko banne me 5 se 6 saal lag jate hai . Wahi par agar kuch log online tools ka istamal krke bhi mobile applications banate hai jis se wo revenue generate krna jaldi shuru kr dete hai wo bhi bina coding kiye in software’s ko Android Mobile Application Builders kaha jata hai .
Online bahut se mobile application develop krne ke liye software’s available hai jin par ap cloud based work kr skte hai jaise:
- Appgeyser
- Appybuilder
- Kodular
- Appypie
- Apphive
- Builder.ai
- Andromo
- Thunkable
- ibuildApp
- TWIXL
Ap in cloud based android application develop krne ke platforms se sirf internet ki madad se online android application development kr skte hai aur un apps ke liye apko coding knowledge ki bhi jarurat nahi hai .
Application banane ke liye Android Studio kyo chahiye ?
Agar latest application method ko dekhe to kisi bhi application ko develop krne ke liye aur kisi bhi Android application listing platform par us application ko list krne ke liye apko ek professional software ki jrurat pdti hai jisme se ap application ke related files ko download kar sake aur apne application ko online share kr sake . Agar ap ek android developer hai to apko Android Studio se coding or app development krni chahiye :
- App development se related kuch additional files jaise keystore , aab file etc lene ke liye apko Android studio ki jrurat hai jo ki Google Play Console par use ki jati hai .
- App ka new version or defects instant remove krne ke liye apko Android Studio chahiye jisme ap quick errors remove krke apne application ko update kr skte hai .
- Applications me within seconds ap apna database Google Firebase par host krke bhi instant apne app ko run kr skte hai Android Studio se
- Application me kuch offline or online features dalne ek liye bhi Android Studio ko sikhna bahut jruri hai .
- Android Studio se ap application ko reskin krke new application bhi instant create kr skte hai .
Online Android Application easily kaise banaye ?
Agar ap coding or Android Studio se development nahi kr pa rahe hai to ap online android developer tools se application develop krke bhi acchi income kr skte hai . Application develop krne ke liye sabse best platforms jo online available hai wo hai Kodular , app geyser or thunkable . Kuch online application develop krne wali websites par apko pura application created milta hai aur apko sirf use apne according customise krna hota hai aur kuch platforms apko application scratch se banana pdta hai.
Agar ap beginner hai to ap Appgeyser jaise platform se application bana skte hai jiske liye apko is process ko follow krna hoga :
- Appgeyser.com par jaaye .
- Apne according ke application ko choose kare jaise VPN App , Web Browser or Image Editor etc
- Application ko nam de aur uska logo design krke upload kare .
- Application me features ko apne according decide kare aur create kare .
- Appgeyser par application ka .aab or apk format download kare
Apki application apk format me tyaar ho jaegi jise ap apne mobile me download krke install krke use krke dekh skte hai . Is application ko ap Google Play Console ke through Google Play store par upload kr skte hai .
Online App Builder Platforms Safe hai ya Nahi ?
Application banane ke liye online app builder platforms safe hote hai kyoki isme apko kuch jyada information in platforms ko nahi deni hoti aur ap apna application playstore par bhi publish kar paate hai . In platforms se banaye gaye applications ko ap fully customise nahi kr skte jiski wajah se agar apka application koi download krta hai to use pata chal jata hai ki apne ye mobile application ko kis software se banaya hai .
Online app builder par app develop krne ke kai benefits hote hai jaise:
- App apko instant ready mil jata hai .
- Application ko ap monetise kr skte hai .
- Application se related pura support apko in platforms se milta hai .
- Application ke graphics ap Premium version me edit kr paate hai .
- In application pe apki jitni earning hoti hai uski hi earning ka kuch share in companies ko bhi jata hai .
Also read : Bank Nifty or Nifty Trading me Online Share Market Indicators Kaise Use Kare
Online Android Application banakar kitni income kar skte hai ?
On an average dekhe to ap sirf ek mobile application ko Google Play Store par publish karke daily 5 se 500 dollar tak ki income kr skte hai ye depend krta hai ki application kya utility provide krta hai aur users usko kitne time ke liye rakhte hai . Agar monthly average dekhe to ap mobile applications par ad revenue se hi 1 lakh per month tak income kr skte hai jis se ap aage jakar ek professional application develop krwa skte hai .
Agar ap mobile application develop krwana chahte hai aur janna chahte hai ki kaise ap unse income kr skte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai.