Life me direct income sources ke sath sath indirect or passive income sources hona bhi bahut jruri hai kyoki direct income se ap apne sabhi monthly expenses ko counter kr skte hai aur passive income se ap apne future ke liye save kr skte hai . Kisi ke liye ek profession me hone ke sath sath koi part time work or koi standby business krna mushkil ho jata hai aur India me passive income sources apko bahut dekhne ko milte hai jisme ap ya to banks me FD interest ko apni passive income keh skte hai ya phir ap share market me risky investments me invest or trade krke passive income kr skte hai . Lekin kuch passive income source aise bhi hote hai jisme apko acchi rental income milti hai jaise SBI ATM Franchise .
Agar ap dekhe to kisi bhi locality or kisi bhi metro city me or shopping malls ke as pas apko bahut companies ki ATM Machines dekhne ko milti hai kuch facilitate krti hai customer ko apne Debit cards use krne me kuch facilitate krti hai unko Credit card use krne me . Agar ATM facility ka dekhe to private or public banks apne ATM Public places or aise places par setup krte hai jaha jyada se jyada log unka use kre . ATM Setup krne ke liye banks kuch rental pay krte hai aur contract base par ek location lete hai ise ATM Franchise issue kaha jata hai .
Agar ap ek accha passive income ka source dhund rahe hai aur janna chahte hai ki kaise ap apni space State bank of India ko rent par dekar income kr skte hai . To is article me apko acche se explain kiya gaya hai ki kaise ap SBI ATM Franchise le skte hai .
SBI ATM Franchise ka kya mtlb hai ?
State Bank of India ke nationalised bank hai jo government of India dwara controll kia jata hai . India me SBI ki more than 12000 head branches or more than 1 lakh customer based branches hai . Kyoki ye ek nationalised bank hai to logo ka is par bahut jyada trust hai. SBI bahut saari services offer krta hai normal saving account se lekar credit or loan facilities bhi . Aisi hi ek service me SBI ATM Card apne customers ko issue krte hai jis se customers apne account me transaction kr ske iske liye SBI India me alag alag spaces par apne ATM bhi setup krte hai .
Ye kisi bhi ek household or shop owner ke liye ek business or earning oppurtunity hai ki wo SBI se 60k per month rental income kar sake bank se SBI ATM Franchise lekar jisme wo bank ke ATM ko apni location par contract par setup kr skte hai. SBI ATM Franchise ka mtlb hai apni location par bank ka ATM Setup krna aur bank se per month rental income lena .
Kisi bhi location par ATM lene ke liye space owner ko kuch formalities krni hoti hai aur kuch samay ke liye legal contract krna hota hai .
SBI ATM Franchise lgane se kya fayda hota hai ?
SBI India ka sbse trusted bank hai kyoki ye Government of India se support me ye bank funds aur accounts ko lekar puri reporting government ko deta hai aur ye ek nationalised public bank hai jisme kisi bhi tarike ke default ko lekar government as an intermediary bich me hoti hai . Kisi bhi space owner ke liye ye ek bahut acchi oppurtunity hoti hai ki wo apni vacant space ko rent par dekar accha rent income kr sake aur agar banking company trusted ho to contract based earning ek financial support space owner / applicant ko de deti hai . Agar ap SBI ATM Franchise ke liye apply krte hai to apko ye benefits hote hai :
- Apko bank se per month rental income hoti hai Rs 50000 se Rs 60000.
- Apki space ek fix period ke liye bank ke pas rental ho jati hai jis se apki passive income assured ho jati hai .
- SBI trusted bank hone ki wajah se apko payment me default ke chances nahi milte .
- SBI ATM Franchise lene se apki location ki value or bhi jyada bad jati hai .
- Apki fix income assure ho jati hai aur apko rent par space ke liye jyada maintenance cost nahi deni hoti .
- Rental income timeperiod ke according change kr diya jata hai jisme jyadatar case me apko contract renew krke bank aur bhi jyada fix rent pay krta hai .
SBI ATM Franchise me kitni investment ki jrurat hai ?
SBI se rental income se kamane ke liye apko ye janna bahut jruri hai ki ap jis bhi location me SBI ATM Setup krna chahte hai uske liye apki location ek market location honi chahiye jaha par public ka ana jana jyaada ho . Agar ap kisi locality me ya kisi society me ATM ke liye apply krte hai jaha par jyada transactions predict nahi kiye ja skte to bank apki application ko reject kr deta hai .
SBI ATM Franchise lene ke liye bank ne sabhi applicants ke liye kuch specific guideliness issue ki hai jise apko dhyaan se padhna chahiye :
-
- Apke pas kam se kam 50 SE 80 SQ FT space hona jruri hai .
- Ye space ground floor par aur ek public visible space me hona chahiye .
- 24 hrs apki space me electricity supply honi chahiye aur apke pas kam se kam us space me 1 kilowatt ka electricity connection hona chahiye .
- Atm survey kiya jaega aur par dekha jaega ki jya apki location par 300 se jyada monthly transactions ho skti hai ya nahi .
- ATM ki flooring or spacing complete concrete ki honi chahiye jisme floor or terrace secured hona chahiye .
- Agar ap ek public society me apply krna chahte hai to apko us society me se No Objection Certificate bhi include krna hoga apni application me .
In conditions ko follow karke ap online SBI ATM Franchise ke liye application , official SBI ki website par submit kr skte hai . Application dene ke bad apki location par survey kiya jaega jisme SBI Agents apko approval or rejection for SBI ATM Franchise instant bta dete hai .
SBI ATM Franchise me kitni income apko milti hai ?
SBI ATM Franchise apply krne ke liye apko kuch bhi fees or charges deposit nahi krne hote aur application as per your location bilkul free hai . SBI ATM Franchise ko apply krne ke bad jaise hi apki application ka approval mil jata hai to apko SBI head office se ya kisi SBI Agent ke through apko ek contract bhej diya jata hai jisme apko sabhi terms and conditions share kr diye jaate hai aur rent agreement ke liye bhi sabhi policies bta di jati hai .
Isme kyoki SBI ek fixed tenure ke liye aur ek fix rental par apse land space leta hai to is proposal se apko acchi income ho jati hai . Minimum income from SBI ATM Franchise jo kisi bhi metro or public space ke liye di jati hai wo hai Rs 50000 aur agar kisi crowded place ki baat kare to owner ko bank se Rs 1 lakh tak ka rent per month bhi pay kr diya jata hai .
SBI ATM Franchise apply kaise kare ?
SBI ATM Franchise apply krne ke liye pura process online rakha gaya hai jisme online kuch documents submit krne hote hai aur apni franchise space ke kuch pictures bank ko bhejne hote hai . SBI ATM Franchise apply krne ke liye apko is process ko follow krna hota hai :
- SBI ne ATM Franchise dene ke liye kuch specific intermediaries ko hire kiya hai jisme ap direct unke application page par application submit kr skte hai .
- Tata Indicash – www.indicash.co.in
- Muthoot ATM – www.muthootatm.com/suggest-atm.html
- India One ATM – india1atm.in/rent-your-space.
- Apko in me se koi bhi website par chale jana hai aur apna application form submit krna hai .
- Apko ek reference ID generate hoti hai jise ap apne pas later reference ke liye aur status check krne ke liye save kr skte hai .
Franchise application ko approval milte hi apko SBI ya in intermediaries ke through contact kiya jata hai jis se apki space par ATM Setup kr diya jata hai aur contract ke according apko rental advance or monthly de diya jata hai.
Must Read : Jhatpat Connection Yojana Jhatpat Electricity Yojana in Uttar Pradesh
SBI ATM Franchise documentation kaise hoti hai ?
ATM franchise application ko submit krne ke liye apko kuch specific documents ki jrurat pdti hai jise apko application submit krte waqt fill krna hota hai . Ap apni application me in documents ko use kr skte hai :
- Aadhaar Card
- PAN Card
- Voter Card
- Address proof
- Bank Account Proof
- GST Number
- Income Proof
- Passport Size of land owner
- Land Documents
Iske alawa apko specific documents as per location jaise intaqal or property specific documents apko bank me deposit krna hota hai . Agar ap SBI ATM Franchise ya kisi aur bank ke ATM ki franchise apply krna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai.