India me vehicle se related pollution policy implement kr di ja chuki jiski wajah se cars , vehicles ke prices me petrol ke prices me aur apki EV Vehicles ke prices me bahut se changes dekhne ko mile . Iske bad government ne India me electric vehicles promote krne ke liye sabhi vehicles par for pollution control or traffic emergencies ko control krne ke liye heavy traffic rules of fines bana diye . Electric vehicles ki baat kare to diesel or petrol mehnga hone ke bad India me sbse jyada Electric cars , electric scooters or yaha tak ki Electric cycles or electric rickshaw bhi dekhne ko mili hogi .
India me change hote transportation sphere ko dekhte hue bahut saare entrepreneurs ne is opportunity ko grab kia aur electric vehicles ke business ko adopt kiya jisme wo electric scooters ki franchise , electric vehicle spare parts or electric rickshaw business me involve hue . Compared to old rickshaw , e-rickshaw ka module logo ne bahut jyada prefer kiya kyoki ye logo ka time bachati hai aur cost effective hai or pollution free hai .
Is article me apko btaya gaya hai ki kaise ap apna E-Rickshaw selling ka business shuru kr skte hai aur is business se ap selling profits or rental income dono kaise kr skte hai . Apko is business me kitni investment hoti hai aur kya kya registration chahiye wo bhi btaya gaya hai .
E-Rickshaw ka business kaise shuru kare ?
India me E-Rickshaw business ko lekar kuch hi manufacturing units hai kyoki E-Vehicles ke sabhi spare parts foreign or china se import kiye jaate hai . Jyadatar log distributorship or E-rickshaw vehicle agency lene me prefer krte hai jise wo foreign , chinese or japanese market se import kr lete hai . Isme sbse jyada benefit ye hota hai ki kai bar bulk purchase me buyer ko ek acchi deal mil jati jai jiske badle unhe manufacturing me high cost ati hai .
E- Rickshaw ka business shuru krne ke liye apko ya to E-Rickshaw manufacturing unit banana hoga ya phir ap ek company ko distributorship le skte hai . Agar apke pas acchi capital hai to apko kam se kam Rs 10 lakh iske manufacturing unit me spend krne honge jisme apko services , spare parts or metal , wheels etc sabhi ek bulk stock me rakhna hoga , wahi par agar ap distributorship lete hai to apko kam se kam investment Rs 15 lakh ki kr skte hai jisme apko kisi company ke minimum stock or designs ko lena hota hai.
E-Rickshaw se income krne ke ek aur tarika hai rental income jisme ap kuch E-rickshaw purchase krke use rent par de skte hai aur per day rental collect kr skte hai .Agar ap 10 rickshaw (min investment Rs 10 lakh ) rakhte hai to ap daily Rs 500 per day ke hisab se Rs 5000 per day income kr skte hai.
E-Rickshaw Business me kitni investment hoti hai ?
E-Rickshaw ka business krne ke liye ye depend krta hai ki ap kitne scale par is business ko krna chahte hai aur apke waha E-Rickshaw ki kitni demand hai . Ap is business ko Delhi ki kisi franchise se shuru kr skte hai ya ap jyada branded rickshaw lene ke liye foreign se import kr skte hai .
Agar E-Rickshaw agency ki franchise ki baat kare to India me Atul Auto franchise ki cost apko kam se kam Rs 60 to Rs 65 lakhs hoti hai jisme apko sales ke ek office space , spare parts ke liye extra investment Rs 3 se 5 lakhs or service equipment ke liye Rs 5 to 10 lakh investment krni hoti hai . Kyoki Atul auto ek popular brand ban chuka hai Indian e-rickshaw brands me to agar apke pas acchi investment hai to ap is franchise ke sath shuru kr skte hai .
Lekin agar ap kam investment me krna chahte hai to ap UDAAN E-Rickshaw Brand se E-Rickshaw purchase krte hai to ap kam se kam Rs 90000 se 1.5 lakh me investment krke per rickshaw apni agency or franchise shuru kr skte hai.
E-Rickshaw Business me Franchise lekar kam kare ya local rickshaw ?
E-Rickshaw ki quality par depend krta hai ki wo kitne time tak chalegi aur apko hmesha best material quality se bani rickshaw hi prefer krni chahiye kyoki apko sbse kyada problem is business me ati hai wo hai maintenance ko lekar. Agar ap ek low quality ke brand ki rickshaw ko sell krte hai to usme apko tyres ko lekar , suspension ko lekar , body make ko lekar or battery ko lekar bar bar problems face krna pdta hai .
Agar ap ek Franchise lekar kam krte hai to apke liye jruri hai kuch specific invesments krna jaise :
- 500 se 1000 sq feet space for showroom and repairs
- Additional spare parts
- Hiring of specific staff and maintenance personnel .
- Furniture and Fixtures .etc
Aise apko franchise lene ke bad company ke pure rules and regulations ke according kam krna hota hai jis se company ki reputation par koi problem na aaye. Agar ap local rickshaw jaise Delhi make lete hai to usme apko kam investment me acchi quality milne ke chances hote hai . Agar ap Delhi make rickshaw lena chahte hai ya banwana chahte hai to ap in parties se connect kr skte hai :
- Virraj Asia Feb Auto Industries (Ballabgarh )
- Ewa Rickshaw ( Tronica City Ghaziabad )
- Krishna E-Rickshaw & E-Loader ( Roshanara Road , Delhi )
- Kaptech INDIA (Mundka Delhi )
- Mahabal E- Vahicals ( Aligarh ) .
E-Rickshaw Spare Parts kaha se len ?
E-Rickshaw ke business me kisi bhi customer ko sbse jyada problem ati hai Rickshaw ki maintenance or service ko lekar kyoki India me sell hone wali har rickshaw ka make kuch alag hota hai aur uski body or movement ke according usme spare parts use kiye jaate hai . Agar baat kare E-Rickshaw franchise ki to agar ap kisi bhi brand ki E-Rickshaw ki franchise lete hai to apko usme spare parts lene ka bhi offer diya jata hai jisme ap company se billing par time to spare parts le skte skte hai lekin agar ap ek local E-Vehicle purchase krte hai to apko spare parts alag alag shop par aur agencies me pata krne pdte hai .
India me cost effective , high equality or compatible E-Rickshaw spare parts lene ke liye Delhi ke in dealers se spare parts ke liye confirm kr skte hai :
- Nanya Airconn Pvt ltd – New Delhi
- Bal Gopal Auto Center – Nagloi , Delhi
- Shiv Sales Corporation – New Delhi
- Balaji Trading – Mandoli , Delhi
- Shobha Trading – New Delhi
E-Rickshaw Business ke liye kya kya registration chahiye ?
E-Rickshaw business ko shuru krne ke liye apke pas ek spacious show room space ke sath sath kuch specific legal documents bhi hona jruri hai . Agar ap ek E-Rickshaw franchise ke liye apply krte hai to apko in documents ki jrurat pdegi :
- Business Registration
- Business Bank Account / Current Account
- GST Registration
- E-Way Bill Registration.
- Incorporation Certificate or Partnership Deed
Inke alawa , agar ap ek sole properietor business krte hai to apko sirf business ka bank account or GST Registration mandatory hai . In documents ke sath ap kisi bhi company ki franchise ke liye apply kr skte hai .
Must Read : Imagesbazaar Online Indian Image Sharing Website par Online Paise Kaise Kamaye
E-Rickshaw Business me kitna profit hota hai ?
E-Rickshaw India me ek fastest selling product ban chuka hai . Iski sales depend krti hai Rickshaw ke batter backup , make quality or pricing par . Agar ap ek simple rickshaw without any loading feature dekhte hai to apko kam se kam isme Rs 80000 se Rs 90000 invest krne hote hai jisme agar ap apna profit margin add krte hai to apko Rs 30k to Rs 40k profit per rickshaw sell aram se ho jata hai .
Iske alawa ap E-Rickshaw ke business me alag alag tarike se bhi income kr skte hai :
- Company E-rickshaw rental program chalakar .
- E-Rickshaw rental model banakar
- E-Rickshaw service krke
- E-Rickshaw ke spare parts sell krke .
To India me EV Business or E-Rickshaw Business bahut hi jyada profitable hone wala hai . Apko is article me btaya gaya ki kaise ap online E-Rickshaw business krne ke liye kitni investment chahiye aur kaise ap is business ko kr skte hai . Agar apko is business se related koi doubt hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .