Share market me price action or trading strategies ko lekar bahut saari theories btayi gayi hai jiske basis pas ap ye check kr skte hai market trend kaisa chal raha hai . But koi aisi strategy nahi ban payi hai jo accurately bta sake ki share market me kis direction me ya kis place se kaha movement hogi . Kyoki ye real time market ki demand or supply par depend krta hai ki price ki direction me move kare or apko upside or downside dekhne ko milega . Human calculations se faster or relying calculations or estimations hoti hai machine ki or computer based calculations ki wajah se instant decisions lene ke liye share market me kuch Online Share market indicators use kiye jate hai.
Online Indicators apko help krte hai apni position or apna trade estimate krne me ki apka trade kis direction me jaega aur apko kitna profit or kitna loss hoga . Agar ap live market me dekhe to Indicators use kiye jaate hai share price or option price ke hisab se lekin inko completely accurate bhi nahi mana ja skta jiske liye apko human Physiologic or sentiments bhi market me dekhne hote hai .
Online Share Market Indicators ka kya use hai ,inko kaise use kiya jata hai aur konse konse indicators apko online share market trading me help krte hai sab apko is article me samjhaya gaya hai .
Index Trading me accuracy kyo important hai ?
Index Trading ka mtlb hai Nifty or Bank Nifty jaise index me trade krna . Nifty Index apko bahut alag alag category me mil jata hai jaise Nifty 50 , Nifty 200 , Nifty Auto , Nifty Pharma etc lekin share market me sbse jyada Nifty 50 Index ko trade kiya jata hai wahi par agar ap specifically banking sector ke liye dekhe to Bank Nifty (Nifty Bank ) sbse jyada India me trade kiya jata hai kyoki sbse jyada volatility apko in index me hi dekhne ko milti hai .
Index trading highly risky or rewarding investments hoti hai share market me trade krne ke liye , kyoki isme agar ap Option trading krte hai to usme ek time value include hoti hai jisme ap apni investment ko fast depreciate hota dekhte hai. Index trading me accuracy hona isliye jruri hai kyoki ap isme volatility ke according ups and downs bahut jyada dekhte hai aur isme time value ke according apki investment bhi drown hoti hai to apko jald se jald index options me profit booking krni hoti hai .
Index Trading me ap Indicators kaise check kr skte hai ?
Index trading me accurately predict krna ki stock or index kis side move krega ye khena mushkil hai . Ap NSE Option Chain data se itna analyse jrur kr skte hai ki kisi bhi stock me ya index me 15 minutes to 1 hr me kis side ki movement ho skti hai lekin agar data me changes aate hai to apke liye mushkil ho jata hai sure hona ki us direction me movement hogi ya nahi . To additional surity price ke movement or stock or index ke movement ko lekar apko milti hai Indicators ko use krne se .
Har Demat Account or Online analysis tool me apko kuch tools or indicators mil jate hai jise ap apne chart par embed krke price movement ki prediction aur accurately kar paate hai . Indicators hote hai kuch specific coded tools jis se ap chart analysis , price movement ,stock movement or buy or sell signal yani entry or exit plan krne ke liye use kr skte hai .
Agar ap Intraday trading krte hai to ap kisi bhi online software me ya apne mobile demat account me kisi bhi stock ya index par alag alag indicators place kr skte hai .
Share Market me ye depend krta hai ki ap kis volatility wale investment option me trade krna chahte hai ya ap kis me already trade krte hai . Agar kisi stock ya option me jyada volatility hai to uske liye ap kuch specific indicators use kr skte hai aur agar ap slow moving investments or long positions me invest krte hai to alag indicators use kr skte hai .
Share Market me sbse important or use ful chart analysis indicators hai :
- Super Trend
- Vwap
- Pivot Points
- Buy or Sell Analysis
- Moving Average
- Exponential Moving Average
- Open Interest Indicator
- Trend Line
- RSI (Resistance – Support Index )
- Fibonacci Trend Analysis
Apko kisi bhi tool me 100 se jyada indicators mil jate hai jise ap apne according use kr skte hai .
Bank Nifty Trading me Indicators kaise apply kare ?
Bank Nifty Trading krne ke lye jyadatar beginner traders open interest or price action par rely krte hai . Kyoki inke stop loss kam hote hai to jruri hai inki accuracy bhi honi chahiye kyoki Bank Nifty or Banking stocks sbse jyada volatile hai aur sabhi index traders ko yahi advice di jati hai ki wo sbse phle stock option trading kare aur indicators ki madad se kare taki wo ek accuracy develop kar ske .
Agar ap live market me Bank Nifty Option or Futures me trade krna chahte hai to ap indicators ko apply kr skte hai . Iska sbse easy way hai apke pas ek spare mobile hona chahiye ya ek laptop or fast internet connection hona chahiye . Ap trading view analysis or chart tool ka use kr skte hai jisme ap unlimited indicators ko use kr skte hai . Aur ap Trading view trend lines or patterns draw krne ke liye bhi other tools use kr skte hai .
Indicators ke sath Trading me kya kya dekhna chahiye ?
Agar Option trading ki baat kare to apko volatility ke according ye dekhna hota hai ki ap kis indicator ko kaise use kr skte hai aur ap ke stock ya option me kitni buying or selling ho rahi hai . Agar ap risky or volatile options me trade krte hai to apko Indicator analysis ke sath in chizo ko bhi jrur dekhna chahiye entry or exit plan krne se phle :
- Har stock or Option ka open interest jrur check kare jis se apko important level mark krne me help hogi.
- Apki buying opportunity in the money hai ya out the money iska bhi apko dhyaan rakhna chahiye ,
- Index trading me hmesha in the money options hi buy kare turant profit book krne ki koshish kare .
- Indicators se alag apko price action or volume trend ka bhi dhyan rakhna chahiye .
- Option trading me ap main share ki movement par jrur nazar rakhe jis se apko decision lene me help milegi
- Trade me entry lene ke bad exit krne ke liye indicator ki wait na kare or apne according exit le skte hai .
Online Share Market Indicators apko sirf entry plan krne me help krte hai jisme ap turant entry lekar decide kr skte hai ki apko kis price par exit krna hai . Option trading ek patience game hai aur risky game hai to apko jrur wait krna chahiye apne options ka price increase hone ke liye .
Must Read : DR. Lal Path Lab ki Franchise Agency Kaise Len aur Kitni Investment hoti hai
Indicators par rely krna chhaiye ya nahi ?
Indicators highly reliable hote hai kyoki ye machine calculations ke according apko apni observation dete hai ki apko kis direction me trade lena chahiye . Lekin agar ap trade lene ke bad apne set targets ke according exit nahi lete hai aur indicators ki wait krte hai exit krne ke liye to ap loss book krke bhi trade me se exit krte hai . To share market me ap indicators ko entry lene ke liye definitely use kr skte hai .
Agar ap share market ya bank nifty trading me Online Share Market Indicatorska use kaise krna hai janna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .