Agar India me dekhe to food se related or daily life style ke hisab se bhi hame bahut saari bimarion ko daily face krna pdta hai. Iski main vajah hota hai hamara galat tarike se khana aur rehne ka tarika . Bimarion se alag kai baar hamare sath kuch accidents bhi ho jate hai jiske liye hame doctors ke alag alag treatments jhelne pdte hai . Doctors se treatment krwate wqt apko sure hona jruri hai ki apko pain or problem hone ka main cause kya hai aur iski in depth checking or tests krna bhi jruri hota hai . Chahe accident se ho ya casual pain ho apko jyadatar head , limbs , shoulders or foot pain ko lekar doctor ke pas X-Ray krwana jruri hota hai . X-RAY ek tarike ka mandatory test ban chuka hai jab bhi ap kisi accident ko face krte hai .
X-Ray ki demand ko dekhte hue bahut se Young or students sochte hai medical profession me enter krne ki or as a medical representative or X-Ray technician unke liye bahut hi accha entry point hota hai . India me har X-Ray / OPD Center me requirement hoti hai ek capable X-Ray technician . X-Ray technician banna students or job seekers ke liye ek acchi oppurtunity bhi hai apne liye ek rozgar option add krne ki .
Kai baar dekha gaya hai ki trained X-Ray technician 3 se 4 saal hospitals me service krne ke bad apna X-Ray center or X-Ray lab khol lete hai jis se unki income acchi ho jati hai . Is article me apko bataya gaya hai ki kaise ap kisi bhi city area me or village area me ek X-Ray lab khol kar X-ray krke ek acchi income generate kr skte hai .
X- Ray Technician kaise bane ?
Kyoki X-Ray technician health faculty me kisi bhi hospital ek important hissa mana jata hai is liye India em sabhi hospitals me X-Ray technicians ki bahut jayda demand hai . X- Ray technician ka main kam hota hai patient ka X-Ray krna , X-Ray ki report develop krna aur us report ko analyse krna ki body me hone wala pain ya problem kis wajah se ho raha hai . Agar kisi ko bones or fractures se related problem ati hai to X-Ray technician ki help se uska X-Ray kiya jata hai aur ye jana jata hai ki aage uska kya ilaj hoga .
X-Ray technician banne ke liye kuch specific skills or certifications ki jrurat hoti hai jisme X-Ray technician course ko complete krna hota hai . X-Ray or Pathology se related in courses ko krne ke bad koi bhi X-ray technician ki job ke liye apply kr skta hai :
- Diploma in Radiology
- Diploma in Imaging Technology
- Diploma in X-Ray Technician
- Diploma in CT Scan and Radiology
- Diploma in Radiography and BSC
- BSC in Radiography
Agar in courses ki baat kare to in course ko krne ke liye kisi bhi student ko kam se kam kisi science college me 50000 se 1 lakh tak ki fees deni hoti hai . Agar ap technician banne ke liye sirf course krte hai to ap kam se kam se 30 se 50 hazaar me radiography ka course krke bhi X-Ray technician ban skte hai .
X-Ray Technician ban kaha kam kr skte hai ?
Agar ap kam investment me ek full fledged degree na krke sirf X-Ray technician ka course krte hai to ap technician ban ke kisi bone specialist or X-Ray clinic par kam kr skte hai ya phir ap apna X-Ray clinic bhi start kr skte hai .Agar ap X-Ray technician ka course complete kr lete hai to ap kisi bhi hospital me job kr skte hai jaise :
- Kolkata Medical College and Hospital
- Christian Medical School , Tamil Nadu
- Lakshmi Bai Medical College , Jhansi
- Jaipur Golder Hospital Delhi
- Darbhanga Medical College etc
Aise ap X-Ray me qualification lene ke bad kisi bhi local or reputed hospitals or clinics me ap job or service kr skte hai jis se ap achi income kr skte hai .
X-Ray Technician ki kitni Salary hoti hai ?
Agar ap ek professional X-Ray technician ban jaate hai to ap monthly salary base par kisi bhi hospital or clinic me job kr skte hai . Job me apko kam se kam Rs 10 se 15000 kisi local clinic me aur agar ap kisi hospital me job krte hai to ap ek shift ke according kam krke salary le skte hai jisme minimum salary Rs 50k se 1 lakh tk ho jati hai .
X-Ray technician ban ke agar ap apna Clinic setup krte hai to apki minimum investment hoti hai Rs 2 se 5 lakh ki jisme apke pas ek office space or X-Ray checking space hona jruri hota hai . X-Ray machine se ap daily Rs 250 se Rs 700 per X-Ray charge kr skte hai jisme agar ap daily 10 X-Ray bhi krte hai to Rs 7000 se Rs 15000 kama skte hai . To kisi bhi job se jyada apko benefit hota hai ki ap apni ek X-Ray lab or Clinic ko setup kare . Iske liye ap medical franchise jaise Dr Lal Path lab jaisi franchise ki madad se X-Ray or Pathology lab setup kr skte hai .
X-Ray Technician ban ke X Ray Lab Kaise Start kare ?
X-Ray lab ya X-Ray clinic start krna ek bahut hi acchi business or income oppurtunity hai jiske liye apko koi jyada medical licensing ki jrurat nahi hoti hai. Agar ap koi X-Ray lab or X-Ray clinic open krna chahte hai to hamare opinion me ap kisi bhi Pathology company ki franchise lekar shuru kr skte hai ya phir agar apne X-Ray technician ka course complete kiya hai to ye jruri hai ki ap kisi hospital me internship jrur kare . Is se apko practical exposure ke sath sabhi equipments ki acche se knowledge milti hai .
Agar ap X-Ray Lab start krna chahte hai to uske liye apke pas kam se kam Rs 5 lakh investment hona jruri hai aur ek office space ki . Iske alawa ap apne brand se letter head bhi create kr skte hai . X-Ray lab ke sath sath ap pathology se related or radiography or CT Scan se related or bhi test ap include kr skte hai .
Must Read : VLCC Franchise Business ko Kaise Shuru Kare and Investment Requirements
X-Ray Lab ke liye kya equipments chahiye ?
X -Ray Lab start krne ke liye apko basic equipments ki jarurat pdti hai jisme :
- X-Ray Machines
- Medical Test Kits
- Furniture and Fixtures
- X-Ray Sheets
- X-Ray Printing Solutions etc .
X-Ray equipments ki jyada information or guidance lene ke liye ap kisi bhi X-Ray equipment seller ki help le skte hai . Agar ap X-Ray se related equipments lena chahte hai to ap in X-Ray Machine suppliers se contact kr skte hai .
Agar apko X-Ray lab setup krne me koi help ya assistance chahiye aur ap hamse janna chahte hai ki kaise ap apne area me lab technician or X-Ray technician ka kam kr skte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .